Sunday 7 August 2011


Le jayenge gaherai me tumko bhi bahakar
kinare pe mera intejar mat karna
durse dekhna aur muskurana
aankhoko na dekhane dena
hawa jab bhi aaye ,mahesoos muze karna
dilme sanjokar rakhenge hamesha
bas itna eitbar rakhna
 


Na Zameen, na sitare, 
Na chand raat chahiye 
Dil men mere basne wale 
Tera pyaar chahiye 

Na dua, na khuda, 
Na hathon mai talwar chahiye 
Musibat men sanam hathon men 
Tera haath chahiye 

Kahun na main kuch, 
Samajh jao tum sab kuch 
Dil mai tumhare mere liye 
Jazbaat chahiye 

Larh lunga har tufan se 
Akaile hi sanam 
Par sahil pe tera dua se 
Utha haath chahiye

Aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta..

Lakin wo tera wada jhota bhi nahi lagta..

Milta hai sakoon dil ko us yaar ke koche mai..

Har roz magar jana acha nahi lagta..

Dekha hai tujhe jab se bechain bohut hai dil..

Kehne ko koi tujh se rishta bhi nahi lagta

Kiya faisla karon us ke bare mai ab..

Wo ghair nahi lakin Apna Bhi Nahi Lagta..!!

Saturday 6 August 2011



kabhi udas hona thaa tau kabhi
rona thaa
ye  hadsa kabhi naa kabhi tau
hona tha
wo shakhs mujhe tod ke jodta
raha akser 
ke mai jaise uske liye koi 
khilona thaa
hasrato ke malbe me dafan karke
ab
de naa duhaai mujhe mere laut aane
ki
darta hu ki kahi neend naa aa jaaye
mujhe
ke jagha wahi hai mere khwabo ke toot
jaane ki



uunhi be wajah kisiki yaad sataaye to koi kya kare,
yaad karte-karte agar jee bhar aaye to koi kya kare,


dil ko behlaane ke to bahut hain saadhan din bhar,
raat hote hi koi khoaabon me aa jaye to koi kya kare,


kabhi sochti hun ki nahin tutungi main apne iraade se,
ye dil apne iraade se mukar jaye to koi kya kare,


patri ki bhaanti arse se chalte rahe the saath ek duje k,
saath chalte koi phir bhi na mil paye to koi kya kare,


hain tairti mere jaanibh,
ek kashti ko hi agar kinara na mil paye to koi kya kare,


kehte hain mujh ko sub loog pyaar k naam par,
phir bhi badnaami k siwa kuchh na mil paye to koi kya kare,



kabhi lagta hai wo hame 
sata rahe hain
kabhi lagta hai wo paas
aa rahe hain
luchh log hote hain aansuon
ki trha
samjh nahi paate ki wo saath
de rahe hain 
ya
chhod ker jaa rahe hain

Fasle aise bhi honge ye kabhi
socha naa thaa
saamne baitha thaa mere aur
wo mera naa thaa
wo ke khushboo ki trha faila
tha mer charo aur
mai use mehsoos tau ker sakta
thaa chhu sakta naa tha
raat bhar uski hi aahat kaan
me aati rahi
jhank ker dekha tau gali me
koi bhi aaya naa thaa
usne apane dard bhi mujhse
alehda ker liye
aaj mai roya tau mere saath
wo roya naa thaa
yaad kerke aur bhi takleef hoti
thi mujhe
bhool jaane ke siwa ab aur koi
chaara naa tha

Apane Khwaboon mein tujhe jis ne bhi dekhaa hoga
Aankh khulate hi tujhe dhoond-ne nikala hoga

Zindagi sirf tere naam se mansoob rahe
Jaane kitane hi dimaagoon ne ye socha hoga

Dost ham us ko hi paigaam-e-karam samajhenge
Teri furqat ka jo jalata huaa lamha hoga

Daaman-e-zist mein ab kuch bhi nahin hai baaqi
Maut aye to yaqinan use dhoka hoga

Raushani jis se utar aye lahoo mein mere
Ai masihaa wo mera zakhm-e-tamannaa hoga



ham kaise btaayen ki zindgi 
kaya deti hai
her qadam pe ye ik naya
imtihan leti hai
jin zakmo,dard-o-yaado ko
bhoolna chahte hain ham
unhi se her baar hame
uljhne ki saza deti hai

Saya bhi saath jab chod jaaye, aisi hai tanhai 
Saya bhi saath jab chod jaaye, aisi hai tanhai 
Rona chahoon to, rona chahoon to 
Aansoon na aayein, aisi hai tanhai 
Saya bhi saath jab chod jaaye, aisi hai tanhai 
Saya bhi saath jab chod jaaye, aisi hai tanhai 

Jo aise chod ke mehboob jaaye 
To jeene se na kyoon dil oobh jaaye 
Saya bhi saath jab chod jaaye, aisi hai tanhai 
Saya bhi saath jab chod jaaye, aisi hai tanhai... 

Paya humne ye bin tere 
Ranj ki raahein aur gam ke andhere 
Ranj ki raahein aur gam ke andhere 
Woh bhi to humse, woh bhi to humse 
Kho gayee hai, aisi hai tanhai 
Saya bhi saath jab chod jaaye, aisi hai tanhai 
Saya bhi saath jab chod jaaye, aisi hai tanhai... 

Yaad aate hain, beetey zamaane 
Jab tum aaye the humko manaane 
Jab tum aaye the humko manaane 
Abh to dil roothey, abh to dil roothey 
Dard manaaye, aisi hai tanhai 
Saya bhi saath jab chod jaaye, aisi hai tanhai 
Saya shi saath jab chod jaaye, aisi hai tanhai 

Rona chahoon to, rona chahoon to 
Aansoon na aayein, aisi hai tanhai 
Saya bhi saath jab chod jaaye, aisi hai tanhai 
Saya bhi saath jab chod jaaye, aisi hai tanhai.

Ham tum hoon gey badal ho ga
Raqs main sara jungal ho ga
Wasl ki shab aur itni kali
Un aankhon main kajal ho ga
Kis ne kiya mehmeez hawa ko
Shayad un ka aanchal ho ga
Pyaar ki rah pe chalne waloo
Rasta sara dal dal ho ga


Kash ke is dil ne koi rishta
naa bnaya hota
tau aaj hmne jeene ka haq 
naa gawaya hota
zkhmo ko mrham na mila 
yaha tau na sahi
per u berehmi se unpe nmak 
naa lagaya hota
gujre waqt ke saath gujer 
gaye sabhi rishte
ai kash hamne koi rishta 
hi naa bnaya hota