Friday 7 August 2015

Baat chali teri aankhon sey


Baat chali teri aankhon sey
ja pohncha paimanay tak
khinch rahi hai teri ulfat,
aaj mujhey maikhaney tak
ishq ki batey gum ki batey,
dunya wale kartey hain
kis ne shama ka dukh dekha,
kaun gaya parwanay tak
ishq nahin hey tum ko mujh say,
sirf bahaney karti ho
yu hi bahaney qayam rakhna,
tum meray mer jaane tak
itna hi kehna hey tum say,
mumkin ho to aa jana,
aa hi gaye toh rukna bhi ho ga,
aankhon k pathraney tak..

Wednesday 5 August 2015

Hamesha jaane ki baat karta hai koi

Hamesha jaane ki baat karta hai koi

phir aajmane ki baat karta hai koi

baar baar mai rokta hu uski rahhaie 

hawan ban jaane ki baat karta hai koi

mai barasta hu roz barish ki tareh

dhup ho jaane ki baat karta hai koi

mai chuta hu uski gheeli palke

rut jaane ki baat karta hai koi

meri bahoo ke ulsia sagar mai

utar jaane ki baat karta hai koi

keheta hai har roz sirf ek baar

 aaaa ke na jaane ki baat karta hai koi

sirf ek baar apni awaz sunakar

din guzarne ki baat karta hai koi

apni ninde mere sarhane rakh kar

so jaane ki baat karta hai koi