Saturday, 18 February 2012

Mujhe khonay say darta tha




Meri Ankhon pay marta tha
Meri Baton pay hansta tha

Najane shakhs tha kaisa?

Mujhe khonay say darta tha
Mujhe say jab baat karta tha

Yehi har baar kehta tha
Suno! Agar may bhool jaaon tou

Agar may rooth jaaon tou
Bhool Paaongi yeh sab kuch?

Yunhi hansti rahogi kya?
Yunhi sajti rahogi kya?

Yahi batain hai bas uski
Yahi yaadain hai bas uski

Mujhe sirf yaad hai itna
Mujhe wo pyaar karta tha

Mujhe wo Khone Say darta tha

Chalo Mohabbat Ki Nai Bunyaad Rakhty Hyn !



Chalo Mohabbat Ki Nai
Bunyaad Rakhty Hyn !

Khud Paband Rehte Hyn
Tumhai'n Azaad Rakhty Hyn !

Humare Khoon Mein RAB Ne
Taseer Hi Aisi Rakhi Hy

Buraiya'n Bhool Jatey Hyn
Achaiya'n Yaad Rakhty Hyn !

Ye Soch Kr k Ghustakhi Na
Ho Jaye Mohabbat Mein

Isi Liye Apna Khyal Tere
Khyaal K Baad Rakhty Hyn !

khud wo rona bhul gaya




Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,

Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,

Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,

Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,

Usko gham tha itna ziyadah, khud wo rona bhool gaya

Ajeeb Shakhs hoon



Ajeeb Shakhs hoon Khudh ko jalana chahta hoon,
Mein khudh ko rakh kar kahe bhool jana chaht hoon,

Meray naseeb ki khushiyan bhi kab milli mujhko,
Bas ab to umer bhar ansoo bahana chahta hoon,

Najaney kitni mohabbat hai ranj-o-gham hai mujhey,
Koi bhi dard ho dil mein chupana chahta hoon,


"Baha baha ke yeh ansoo bikhar chuka hoon bohaat,
simat ke zaat mein ab muskurana chahta hoon,

Jisey aik umer se Dil mein basa kai rakha hai,
Woh raaz aaj mein sab ko batana chahta hoon,

Wohi yaad hai jo acha kaha hai logo ne,
Baqaya sarey sitam bhool jana chahta hoon,

Mujhe zamaney nai pathar samjh liya hai magar,
Mein aik insan hoon sab ko batana chahta hoon,

Jo mujh se ruth chuky hain zamaney ki khushiyan,
To mein bhi khushyon se ab ruth jana chahta hoon,

Woh meri khwahishein woh mera khuwaab woh mera bacheni,
Umer rafta mein phir sai woh pana chahta hoon,

Koi to ho jo mujhe bhi lagaye seenay se,
Kisi ko mein bhi gham apna sunana chahta hoon

Saturday, 11 February 2012

Bhul jata hun





Zaroori Kaam hai lekin Rozana Bhul jata hun


Mujhey tum se Mohabbat hai batana Bhul jata hun


Teri Galion Mein Phirna itna ahca Lagta hai

Mein Rasta Yad Rakhta hun thikana Bhul jata hun

Bas itni baat per main Logon ko ahca nahi lagta

Mein neki kar tu deta hun Jatana Bhul jata hun

Shararat le ke Ankhon main wo Tera Dekhna touba

Mein Nazron pe jami Nazrein jhukana Bhul jata hun

Mohabat kab hui Kesay hui sub yad hai mujh ko

Mein kar k Mohabat ko Bhulana Bhul jata hun

किसे मालूम था ये दिल




अँधेरा रोशनी को ढांपने हर शाम आएगा

कहो क्या आशिकों के सर सदा इल्जाम आएगा

मुहब्बत का यही अंजाम गर होना यकीनी है
भला फिर कौन उल्फत के तराने गुनगुनाएगा

मेरे आंसू नहीं रुकते हंसी तेरी नहीं थमती
शराफत का यही क्या आदमी ईनाम पायेगा

उमर सारी गुजारी बस इसी उम्मीद के दम से
हमारा भी कभी तेरी जुबां पर नाम आएगा

किया खिलवाड़ फिर तोडा भला इसमें बुरा क्या है
किसे मालूम था ये दिल किसी को गुदगुदायेगा

Ye Zindagi Tere Saath Ho


images


Ye Zindagi Tere Saath Ho
Ye Arzoo Din Raat Ho
Main Tere Sang Sang Chalon
Tu Har Safar Mein Mere Sath Ho
Main Kanton Par Bhi Chal Paron
Tere Pyar Ki Jab Barsat Ho
Kabhi Sham Dhalay Jab Hum Milain
Na Din Dhalay Na Raat Ho
Ye Zindagi Tere Sath Ho!


Friday, 3 February 2012

Jo dard diya karte hai






Hum unme se nahi jo dard diya karte hai
Hum to doston ka dard baant liya karte hai

Dard dena to kaam hai mohabbat ka
Hum to dosti ke sahare hi jiya karte hai

Agar hai tu bekasur to kyun anjaan banta hai
Hum to dushman ko bhi maaf kiya karte hai

Beshak tujse bichadne ka gum hai magar
Teri bewafai ko dekhkar hum kadmo ko thaam liya karte hai