Saturday, 14 April 2012

Badnam Zamane main Mohabbat Nahi Karte,







Badnam Zamane main Mohabbat Nahi Karte,

Dil Waale To Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte,

Ek Bar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe Phir,

Ham Log Amanat Main Khianat Nahi Karte,

Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar,

Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahi Karte,

Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jaiy Ga Tum Ko,

Ham Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahi Karte,

Likhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liy Ghazlain
,
Har Shakhs Pe ham Aise Enayat Nahen Karte

Monday, 2 April 2012

Sang hawa k urna chahoon





Main bhi kitni pagal hoon na

Sang hawa k urna chahoon

Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoon
Phooloon k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na!



Chandni shab ko khunak hawa main

Chand nagar ko jana chahoon
Amber k ik ik taarey ko
Daman main bhar lena chahoon
Bhaag k sarey nanhey jugno
Muthi main band karna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na!



Kabhi kabhi un nazroon k main

Gongey sapney parhna chahoon
Uss ki sochoon k zeney per
Nangey pa'oon main charhna chahoon
Janti hoon na-mumkin hay ye
Phir bhi kitni pagal hoon main
Janey kya kya karna chahoon
Titli, khushbo, badal ban ker
sang hawa k urna chahoon