Chaha Tha Kisi Ko Maine Zindagi Se Jyada,
Pa Lunga Use Ek Din Ye Kiya Tha Vaada,
Doonda Usse Har Jagah Par Uska Pata Na Laga,
Jab Mila Main Uss Se To Kismat Ne Thaga,
Use Pane Ki Chahat Mein Kho Baitha Sab Kuch,
Par Meri Chahat Ka Uss Bedard Ko Pata Na Laga,
Us Se Ki Dosti Use Pane Ki Umeed Mein,
Par Dosti Ke Siwa Kuch Aur Pa Na Saka,
Jab Kaha Us Se Ki Chahta Hoon Use Dil-O-Jaan Se,
Kaha Usne Ke Pyar- Mohabbat Me Kuch Na Rakha,
Kaha Use Ke Ek Bar Kar Tu Aitbar,
Usne Kaha Ke Pyar Vyar Sab Hai Bekar,
Kehti Hai Pyar Me Jisne Liya Apna Dil Laga,
Mili Hai Unhe Sirf Bewafai Aur Daga Maine Kaha,
Sanam Tujhe Kabi Dhoka Na Duga,
Tere Har Gam Har Dard-E-Sitam Sahuga,
Vo Bedard Boli Ni Kroogi Bharosa Chahe Tu,
Kuch Bhi Kahega Tu Hai Akela Bs Akela Hi Rahega,
Maine Kaha Nahi Chahti To Mar Jane De Mujhe,
Usne Kaha Mat Ja Teri Zarurat Hai Mujhe,
Mujhe Jane Kya Majburi Kya Zid Hai Us Bedard Ki,
Kehti Hai Mar Jayegi Magar Pyar Nahi Kar Sakti,
Kaha Use Ke Pa Na Saka To Teri Yaad Mein Mar Jaunga,
Boli Vo Bedard Ke Mar Kar Sabbit Kuch Na Kar Paunga,
Abb Lagta Hai Mere Pyar Me Kuch Khas Baat Na Thi,
Apna Leti Par Shayad Mere Pyaar Ki Auqaat Na Thi,
Yaaron Koi Jakar Usse Itna To Bataao,
Kya Hota Hai Sacha Pyar Koi Usse Bhi Sikhao,
Vo Kya Jane Pyar Ki Keemat Kya Hoti Hai,
Jab Nahi Milta Pyar To Aankhe Kitni Roti Hain,
Kabhi Na Kabhi To Vo Kisi Se Dil Lagayegi,
Karega Vo Bewafai To Meri Wafa Ki Yaad Ayegi,
Tab Vo Bedard Mere Dard Ko Samajh Payegi,
Is Aashiq Ki Chahat Ko Fir Pana Vo Chahegi,
Par Afsos Use Gale Se Main Laga Na Paunga,
Kyuki Jannat Se Vapas Main Laut Na Paunga.