uunhi be wajah kisiki yaad sataaye to koi kya kare,
yaad karte-karte agar jee bhar aaye to koi kya kare,
dil ko behlaane ke to bahut hain saadhan din bhar,
raat hote hi koi khoaabon me aa jaye to koi kya kare,
kabhi sochti hun ki nahin tutungi main apne iraade se,
ye dil apne iraade se mukar jaye to koi kya kare,
patri ki bhaanti arse se chalte rahe the saath ek duje k,
saath chalte koi phir bhi na mil paye to koi kya kare,
hain tairti mere jaanibh,
ek kashti ko hi agar kinara na mil paye to koi kya kare,
kehte hain mujh ko sub loog pyaar k naam par,
phir bhi badnaami k siwa kuchh na mil paye to koi kya kare,
No comments:
Post a Comment