Samander mai utterta hoon too ankhiin bheeg jaati hain
Teri ankhoon ko perta hoon too aankhin bheeg jaati hain
Tumharaa naam likhnee ki ijaazat chin gai jaab se
Koi bhi naam likhta hoon too aankhin bheeg jaati hain
Teri yaadon ki khushboo,khirkion mai raqs kerti hai
Tere ghaam mai sulagta hoon too aankhin bheeg jaati hain
Mai hans ke jheel leeta hoon judaai ki sabhi rasmain
Gaalee jaab uskee lagtta hoon too aankhin bheeg jaati hain
Na jaanee hoo gayaa hoon is qadar hassas mai kab se
Kisee se baat kerta hoon too aankhin bheeg jaati hain
Wo saab guzree hoee lamhaat mujhkoo yaad aate hain
Tumhaare khaat jo perta hoon too aankhin bheeg jaati hain
Mai sara din buhaat masroof rehta hoon magar juunnhi
Qadaam chaukhaat pe rakhta hoon to aankhin bheeg jaati hain
Her ik muufliss kee maathe per alaam ki dastanin hain
Koi chehra bhi perta hoon too aankhin bheeg jaati hain
Bare logoon ke oonche,badnumaa or sard mehloon ko
Ghareeb aankhoon se taktaa hoon to aankhin bheeg jaati hain
Tere kooche se aab mera taulluq wajibi saa hai
Magaar jaab bhi guzartaa hoon to aankhin bheeg jaati hain
Hazaroon mausamoon ki hukmiraani hai mere dill per
Wasi mai jaab bhi hasta hoon to aankhin bheeg jaati hain
No comments:
Post a Comment