Mujhay us nay kaha aao nai dunya basatay hainUsay soojhi shararat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
'Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Usay hansnay ki aadat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Mujhay us nay kaha aao nai dunya basatay hain Usay soojhi shararat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Hamesha us ki aankhon main dhanak kay rang hotay thay Ye us ki aam aadat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Woh meray pass bethi dair tuk ghazlain meri sunti Usay khud say Muhabbat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Meray kandhay pe sir rukh ker kaheen kho gai thi wo Yeh ik waqti inayat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Mujhay wo daikh ker aksar nigahain phair leti thi Yeh dur perda haqarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha..'
No comments:
Post a Comment