Badi mushkil se Ham samje Wo hame kya samjhte hai Jo achchhe hai Wo har inssan ko Achchha samjhte hai
Sunday, 14 December 2014
Saturday, 13 December 2014
Aye Dost Tumse Itni Umeed Karne Laga Hoon
Aye
Dost Tumse Itni Umeed Rakhne Laga Hoon,
Gum Nahi Par Khushi Mein Tera Saath Chahane Laga Hoon,
Meri
Is Chahat Ko Kabhi Kam Hone Mat Dena,
Gum Mein Sahi Par Khushi Mein Rone Mat Dena,
Kis
Dard Mein Jalta Hoon Kisi Aur Se Kehne Mat Dena,
Kyunki Apni Jaan Se Jayada Tumhe Payar Karne Laga Hoon,
Aye Dost Tumse Itni Umeed Karne Laga Hoon.
Friday, 18 April 2014
wo apne chehre mein
wo apne chehre mein sau aftaab rakhte hain
is liye to vo rukh pe naqab rakhte hain
vo paas baithe to aati hai dilruba khushbu
vo apne hothon pe khilte gulaab rakhte hain
har ek varq mein tum hi tum ho jaan-e-mehbubi
hum apne dil ki kuchh aisi kitaab rakhte hain
jahaan-e-ishq mein sohni kahin dikhai de
hum apni aankh mein kitne chenaab rakhte hain.
phoolon mein hoti hai wo khushbu
phoolon mein hoti hai wo khushbu
jo man ko bhaa jaati hai
jo is man ko chhute hi
ek madhur geet ban jaati hai
vibhinnataa hoti hai rango mein inke
jinki man mein tasveer ban jaati hai
in phoolon mein hoti hai itni kashish
jo har dil ko lubhaa jaati hai
jab inhi phoolon ko joda jaye
to ek manmohak maala ban jaati hai
jise arpit karo bhagvaan ko
to ye araadhana ban jaati hai
jise arpit kar do shaheedon ko
to yahi shraddhaanjali ban jaati hai
ye hai wo sundar phoolon ki daastaan
jo har dil mein samaati hai.
Nazar bacha key rakhta hun
Nazar bacha key rakhta hun
magar har dum nazar usi pey rakhta hau .
palkon main ashqo kaa sailaab chhupa ke ham
chale aaye mehfil se aankh bacha ke
duniya ke swal nashter ban ke chubhte hain
islie baithe hain khud ko sabse chhupa ke
kahi gher naa len aake hame dard ke ghere
baithe hain khud hi zakmo pe namak laga kesehte hain dard kayuki hame is se payaar hairakha hai isne her waqt hame sine se laga ke
MERE KHYAALO SE
mere khyaalon se shayad woh
sharmaati hogi
neend magar usko bhi nahi aati
hogi
chand ki khud koi roshni nahin
hoti
yeh sochkar woh aur bhi itraati
hogi
kabhi kankhiyon se dekhkar
kabhi titliyon se khelkar
dhadkanein uske dil ki bhi badh
jaati hogi
nadi ko dekhkar behak jaati hai
uski baaton mein rawaani chalak
aati hogi
khair ki bijli phalak pe kadakti
hai
yeh sochkar woh aur bhi seham
jaati hogi
mera jikr kabhi to aa jaata hoga
ki woh apne aapme simat jaati
hogi
yeh zindagi kitni choti hoti hai
pal bhar mein zinda pal bhar mein
mar jaati hogi.
Subscribe to:
Posts (Atom)