mere khyaalon se shayad woh
sharmaati hogi
neend magar usko bhi nahi aati
hogi
chand ki khud koi roshni nahin
hoti
yeh sochkar woh aur bhi itraati
hogi
kabhi kankhiyon se dekhkar
kabhi titliyon se khelkar
dhadkanein uske dil ki bhi badh
jaati hogi
nadi ko dekhkar behak jaati hai
uski baaton mein rawaani chalak
aati hogi
khair ki bijli phalak pe kadakti
hai
yeh sochkar woh aur bhi seham
jaati hogi
mera jikr kabhi to aa jaata hoga
ki woh apne aapme simat jaati
hogi
yeh zindagi kitni choti hoti hai
pal bhar mein zinda pal bhar mein
mar jaati hogi.
No comments:
Post a Comment