Tuesday, 17 January 2012

Pagal Si Ek Ladki Thi







Pagal Si Ek Ladki Thi

Har Pal Woh Mujhko Takti Thi

Aankh Main Uski Masti Thi
Woh Baat Baat Pe Hansti Thi

Har Roz Woh Roop Badalti Thi
Har Roop Main Achi Lagti Thi

Es Dil Main Aag Badhakti Thi
Jab Meri Taraf woh Barti Thi

Deedar Ko Deed Tarasti Thi
Fursat Main Aankh Barasti Thi

Woh Jub Bhi Mujhse Milti Thi
Yeh Zalim Dunya Jalti Thi

Pyar Woh Mujse Karti Thi
Izhaar Se Laiken Darti Thi

Pagal Si Ek Ladki Thi

Kabhi Hum Un Se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain






Kabhi Hum Un Se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain,


Hawa Kuch Chalti Hai Aisi Ke Kinare Choth Jate Hain,


Samandar Ki Gehrai Se Bhi Hote Hain Jo Gehre,

Pal Bhar Main Woh Rishte Kyun Toot Jate Hain,

Jin Pe Hota Hai Bharosa Apne Aap Se Bhar Kar,

Woh Log Dil Ki Duniya Kyun Loot Jate Hain,

Teer Chalta Hai Jab Nafrat Ka Un Ki Aakhon Se,

Dil Kaanch Ke Hote Hain Aksar Toot Jate Hain,

Bara Naaz Tha Mujhe Un Ki Wafaon Par,

Zara Zara Si Baat Par Jo Aksar Rooth Jate Hain.


Saturday, 14 January 2012

Teri aankh main basa hota




khuwab hota to teri aankh main basa hota


khusboo hota to teri sans main racha hota



kia hi acha tha ke to shama hoti



perwana ban ke trei aag main jala hota



tujhy firar ki koi surat nazar nahi aati



sawal ban ke tere zahn main uljha hota



sari umer yeh pachtawa nahi jaye ga



wo jo chahy saza deeta na khafa hota

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye




Meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye….

mere aazmaney wale mujhe aazma k roye…..

jo sunaai anjuman main shab-e-gham ki aap biti….
kuch ro k muskuraye kuch muskura k roye……..

teri kuch adaon pe.. kuch teri bewafaiyon pe…..
kabhi muh chupa k roye kabhi sar jhuka k roye…

mai hun bewatan musafir mera naam bekasi hai..
mera koi bhi nahi jo mujhe galey laga k roye…….

mere paas se guzar kar mera haal tak na pooch….
mai ye kaisay maan lu k woh door jaa k roye….

Roye bohot hai hum.




Ankhoon may kayi sapnay saja kar roye bohot hai hum.

dil ko nayi dunya dikha kar kar roye bohot hai hum.

woh badal gaya to pher li hum nay bhi nazar apni.
par us kay khatoon ko jala kar  roye bohot hai hum.

laut aye to ahin us ki mehfil say bacha kar ana apni.
par us ki bazm say a kar  roye bohot hai hum.

jisay kia tha roshan tamanhaon say hum nay apni.
us shamy wafa ka bhuja kar  roye bohot hai hum.

jin kay saye mai ki thin hum nay kayin batain.
un baghoon mai tanha ja kar  roye bohot hai hum.

kis qadar khoshi say kia hum dum ko rukhsat hum nay.
magar sab say nazar bacha kay  roye bohot hai hum.

hosla tutnay ka ho to wafa karna kisi say .
yeh batain logon ko suna kar roye bohot hai hum.

phir yun hua kay ankhoon nay kayin rat jagay dekhay.
palkoon pay teri yaad bitha kar roye bohot hai hum.

wohi aj mujh say meray dard ki wajah chatha hai.
jis ki batain aoron ko suna kar roye bohot hai hum.

Kuch is tarha meri ankho mein basy hein Ansu




Kuch is tarha meri ankho mein basy hein Ansu

Hont chup hein to zuban ban k sajey hein Ansu

khud hi dy kar meri Ankho mein yah sary Ansu
Poochta hai key baata kisney diya hein Ansu

Faarq itna sa hai chaahat mein meri aur uski
usko khushia hi milen mujhko mily hein Ansu

Jisko her ghum sy bachaya tha meri chahat ny
Aaj us shaks ney Ankho mein diye hein Ansu

Dekhty kia ho meri Aankh sey niklaa Ansu
Ankh meri ha magar us key sajy hein Ansu

Khud to aram sey wo mujhko bhola betha ha
jiski chahat ki saza mein yeh miley hein Ansu

Yeh meri ankh nahi raait ka sehra hai jahan
khushk ankho mein kali ban k khely hein Ansu

Apny jis hath sey likha tha usey sari umar
kup kapati usi ongli sey meety hein Ansu

Na Jane Dhoondte Ho Kya Meri Veeran Aankhon Mein,




Na Jane Dhoondte Ho Kya Meri Veeran Aankhon Mein,
Chupa Rakhe Hai Hum Ne Toh Kai Toofaan Aankhon Mein,

Kahaan Woh Shokhiyan Pehle Si, Ab Kuch Bhi Nahin Baqi,
Chale Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-Jaan Aankhon Mein,

Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se Toh,
Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Mann Aankhon Mein,

Na Samjho Chup Hain; Toh Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi,
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mein,

Mile The Baad Muddat Ke Humain Tum Ajnabi Ban Kar,
Toh Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mein,


Nahi Ab Phir Se Koi Rista Rakhne Se Kuch Haasil,
Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mein.

Pyar Ka Matlab Kya Hota Hai




Pyar Ka Matlab Kya Hota Hai, Dil Ne Kaha Vo Rab Hota Hai,

Humne Kaha Ki Rab Kab Rota Hai, Dil Ne Kaha Koi Jab Dhoka Deta Hai,

Humne Kaha Pyaar Kyo Hota Hai, Dil Ne Kaha Koi Jab Ankho Se Chuta Hai,

Humne Kaha Hamein Bhi Chu Lene Do, Dil Ne Kaha Kuch Ho Jane Do,



Intejar Hai Ab Bhi Hamein Kuch Hone Ka, Meethe Se Pyare Ahsas Mein Khone Ka,
Par Ab Nahi Samje Hum Yaaron Ki Pyaar Ka Matlab Kya Hota Hai.

Kabhi Samandar To Kabhi Parvaton Se Ghuzarta Hun,



Kabhi Samandar To Kabhi Parvaton Se Ghuzarta Hun,

Kabhi Mohabbat To Kabhi Nafraton Se Ghuzarta Hun,


Aag Se Khelna To Jaise Shauk Hai Hamaara,

Jalaa Hun Fir Bhi Unhi Harkaton Se Ghuzarta Hun.


Kisi Ki Nazaron Ka Khayal Hun Main,

Unke Ishq Mein Beinteha Ghayal Hun Main,


Zamaane Bhar Ki Nafrat Hai Mere Sath Fir Bhi,

Unki Mohabbat Mein Main Barkaton Se Ghuzarta Hun.



Kabhi Samandar To Kabhi Parvaton Se Ghuzarta Hun,
Kabhi Mohabbat To Kabhi Nafraton Se Ghuzarta Hun.

Pooch Letey Kaisey Ho



Afsos Woh Humarey Pyar Ka Andaaz Na Samjhey 

Jab Bhi Miltey Hain Kehtey Hain Be-wafa Kaisey ho

Pyar Bhi Kartey Hain Kehtey Hain Humein Na Aazmaiye
Azmaaye Baghair Ye Pyar Poora Kaisey Ho

Iss Zaalim Kadey Mein Unn Hi Ne To Haath Thaama Tha
Phair Leen Abb To Nigaahein Unho Ne, Yaqeen Kaisey Ho

Unn Ki Baaton Say Dil To Kya Jism Bhi Zakhmi Hai
Par Unn Say Itna Na Huwa Pooch Letey Kaisey Ho

क्या रोग लगाए बैठे हैं



ना जाने वो दिल मे क्या राज़ छुपाए बैठे हैं

शायद एक खूबसूरत सा अंदाज़ छुपाए बैठे हैं


करीब होते, तो कह देते दिल का हाल सारा
तेरे दीदार की चाहत,अब दिल मे दबाए बैठे हैं

चाँद भी पिघल जाए,उनकी सादगी को देखकर
ये मेरे खुदा तू भी क्या क़ातिल चीज़ बनाए बैठे है 

उन्हे शिकायत है की, हमे प्यार नही है उनसे
कौन समझाए, हम भी क्या रोग लगाए बैठे हैं


By Blogger Akhilesh Gupta 

Tere Pyar Ki Barish Mein




Tere Pyar Ki Barish Mein Nahane Ko Ji Chahta Hai,

Teri Banhon Ki Garmi Mein Phighal Jane Ko Ji Chahta Hai,

Tere Ishq Ke Gehre Sagar Mein Doob Jane Ko Ji Chahta Hai,
Teri Jheel Si Kaali Aankhon Mein Sama Jane Ko Ji Chahta Hai,

Chand Se Tere Chehre Pe Fida Ho Jane Ko Ji Chahta Hai,
Mohabbat Mein Teri Hadh Se Guzar Jane Ko Ji Chahta Hai,

Teri Shehed Baatein Mere Dil Ko Bohat Lubhati Hain,
Bheegi Si Muskaan Teri Deewana Mujhe Kar Jaati Hain,

Ghussa Bhi Tera Hai Pyaar Bhara Saari Duniya Se Judaa,
Anokhi Teri Adaon Pe Marr Mitne Ko Ji Chahta Hai,

Maanga Hai Tujhe Khuda Se Bare Sajdon Ke Baad,
KamZarf Zamane Ki Nazron Se Tujhe Chupa Lene Ko Ji Chahta Hai.

Koi Ess Tarha Mujh Se Pyaar Kare




Koi Ess Tarha Mujh Se Pyaar Kare,


Main Jhot Bhi Bolun To Aitbar Kare,


Apni Chahat Ka Bhi Mujh Se Izhaar Kare,

Jaan Wo Jaan E Ada Mujh Pe Nisaar Kare,


Wo Mujhe Chahe To Toot Kar Chahe,

Pyaar Wo Muj Se Be Shumar Kare,


Mere Bina Na Bane Farmula E Ishq,

Main Kahoon To Do Or Do Char Kare,


Dost Teri Hasrtoon Ko Mera Salam Hai,

Pagal Hai Hoga Koi Jo Tujh Se Pyaar Kare.

Kabhi Hum Un Se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain




Kabhi Hum Un Se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain,


Hawa Kuch Chalti Hai Aisi Ke Kinare Choth Jate Hain,


Samandar Ki Gehrai Se Bhi Hote Hain Jo Gehre,

Pal Bhar Main Woh Rishte Kyun Toot Jate Hain,


Jin Pe Hota Hai Bharosa Apne Aap Se Bhar Kar,

Woh Log Dil Ki Duniya Kyun Loot Jate Hain,


Teer Chalta Hai Jab Nafrat Ka Un Ki Aakhon Se,

Dil Kaanch Ke Hote Hain Aksar Toot Jate Hain,


Bara Naaz Tha Mujhe Un Ki Wafaon Par,

Zara Zara Si Baat Par Jo Aksar Rooth Jate Hain.

aankh uss ki jo chalki hoo gi




Baat be-baat aankh uss ki jo chalki hoo gi.

Uss nay chahray ko bazuoon main chupaya ho ga


Soocha hoo ga uss nay din main kaye baar mujhy.
Naam hathele par bhe likh likh kay mitaya ho ga.


Jahan us nay mera ziker suna hoo ga kisi say
Uss ki aankhoon main koe aansoo tu aya hoo ga.


Raat kay bhegnay tak neind na aye ho gi tujhy.
Tuu nay takeye ko bhe senay say lagaya ho ga.


Hoo kay nidhal mere yadoon say tuu nay jana.
Mere tasveer pay sar apna tikaya hoo ga.


Poocha hoo ga jo kisi nay tere halat ka sabab.
Tuu nay batoon main khub us say chupaya ho ga

Kabhi iqrar kar Lena kabhi inkar kar Lena




Kabhi iqrar kar Lena kabhi inkar kar Lena

Kahaan say tum NE sekha hai anokha pyar kar Lena


Tumhe bahon me bhar ke serif yehi paigam dena tha
Apne sooy jazboon ko zara bydar kar Lena


Kabhi chahat se tum magloob ho kar muskora dena
Kabhi kuch sochna or soch kar inkaar kar Lena


Kabhi shola kabhi shabnum kabhi shadaan kabhi barhum
Kabhi roona kabhi lyhjay ko phir jhankar kar Lena


Tumhari yeh bolti ankhain yeh gur jante bhi hongi
Hum aseeoon ko aseer nagmaan guftaar kar Lena


Salika chaheyeh rah talab main jine marne ka
Nahi zeba mohabbat ko janoon aasar kar Lena


Mohabbat ek naymaat hai essay sagar yeh samajh na
Munasib tho nahi hoga esay aazad kar Lena

chupke se toot raha hai,




Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai,


Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai……

Ankhon mein ashkon ka samandar hai..

lagta hai jaise koi patta shaakhon se toot raha hai……

Ashkon ko Meri Aankhon mein rehne ki aadat si ho gayi hai

Ab toh Jaise Ishq hi mujh se rooth raha hai……



kuchh farmane ki gustakhi kya mai bhi kar sakta hoon

ek masoom jazbat mera bhi zuban se foot raha hai……

Pal bhar ka pyaar aur barson ka intezaar

jaise koi apna hi apne ghar ko loot raha hai....

ऐसा एक दोस्त चाहिए




ना ज़मीन, ना सितारे, ना चाँद, ना रात चाहिए,
दिल मे मेरे, बसने वाला किसी दोस्त का प्यार चाहिए,

ना दुआ, ना खुदा, ना हाथों मे कोई तलवार चाहिए,
मुसीबत मे किसी एक प्यारे साथी का हाथों मे हाथ चाहिए,

कहूँ ना मै कुछ, समझ जाए वो सब कुछ,
दिल मे उस के, अपने लिए ऐसे जज़्बात चाहिए,

उस दोस्त के चोट लगने पर हम भी दो आँसू बहाने का हक़ रखें,
और हमारे उन आँसुओं को पोंछने वाला उसी का रूमाल चाहिए,

मैं तो तैयार हूँ हर तूफान को तैर कर पार करने के लिए,
बस साहिल पर इन्तज़ार करता हुआ एक सच्चा दिलदार चाहिए,

उलझ सी जाती है ज़िन्दगी की किश्ती दुनिया की बीच मँझदार मे,
इस भँवर से पार उतारने के लिए किसी के नाम की पतवार चाहिए,

अकेले कोई भी सफर काटना मुश्किल हो जाता है,
मुझे भी इस लम्बे रास्ते पर एक अदद हमसफर चाहिए,

यूँ तो 'मित्र' का तमग़ा अपने नाम के साथ लगा कर घूमता हूँ,
पर कोई, जो कहे सच्चे मन से अपना दोस्त, ऐसा एक दोस्त चाहि