Mere sarey khat jala do, mere sab nishan mita do
Meri chah to bhula di mera naam bhi bhula do
Teri aur manzilain hain mere aur rastay hain
Kabhi mil nahi sakengain abhi haath hi hila do
Tujhe chahtay hain lakhon tujhi pe fida hazaron
Tum apne dil ka gulshan kisi aur se sajado
Tujhe main ne dil se chaha to ye meri hi khata thi
Yunhi tod ker mera dil mere jurm ki saza do
Shab-e-hijr gungunalo kisi meethi dhun main galo
Jisay sun ke ro parhay sab koi esaa geet suna do
Abhi zindagi parhi hai abhi haal kiya banega
Tujhe dil se main bhula doon muje bas yehi dua do
Kisi din jo hokay tanha tujhey apna aap kosey
Meri yaad phir jab aaye muje dil se ik sada do
Abhi hal-e-dil na pucho abhi zakhm sab haray hain
Kabhi mil ke sab kahengain ye raj usey bata do
No comments:
Post a Comment