Friday, 13 January 2012

usko jaan na paaya.




jaan ko chaha jaan se zyada,phir bhi jaan na paya

jispar apni jaan lutaya use hi jaan na paaya,

jaan jaanke jab ye jaana,kya hota hai yeh pyar,
uski baato mei aisa uljha,ho gaya mei anjaan,

uske rang mei aisa ranga,hogaya mei begana,
rishtey naate sab kuch bhula,hogaya mei diwana,

phir bhi jis jaan ko itna chaha usko jaan na paaya.

No comments: