Wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Wo such kahey na kahey aitbaar karna hai
Yeh tujh ko jaagtey rehnay ka shauq kab say hua
Mujhey toh khair tera intezaa karna hai
Hawa kay zadd mai jalaaney hain ansooon kay chiraagh
Kabhi yeh jashn sar-e-raah guzaar karna hai
Woh mukura kay nayee waswason mai daal gaya
Khayal tha keh usay sharmsaar karna hai
Misaal-e-shaakh-e-barehna khizaan ki rut mai kabhi
Khud apnay jism ko bai barg-o-baar karna hai
Tairay firaaq mai din kis tarhan kattey apnay
Keh shughal-e-shab toh sitaarey shumaar karna hai
Chaloo yeh ashq hi moti samajh kar baich ayeen
Kisi tarhan toh humein roz gaar karna hai
Kabhi toh dil mai chupay zakhm bhi numayan ho
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai
Khuda khabar yeh koi zidd kay shauq hai "Mohsin"
Khud apni jaan kay dushman say pyar karna hai
No comments:
Post a Comment