Saturday, 6 August 2011


Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta

Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta

Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker
Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta

Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta

Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta

Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi
Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta

No comments: