Friday 27 May 2011


Wo Kehte The Ki Aapki Zindagi Humari Hai,
To Kyo Aaj Unki Zindagi Koi Aur Ban Gayi Hai,

Wo Kahte The Ki Aap Humein Jaan Se Bhi Pyare Ho,
To Kyon Aaj Koi Aur Unko Pyari Ho Gayi Hai,

Fiza Mein Bhi Nahi Khili Thi Wo Kali Hum Unki Thi,
To Kyo Aaj Koi Aur Kali Unke Baagon Mein Khil Gayi Hai,

Hum Ne To Unki Mohabbat Ko Sajda Kiya Tha,
To Kyo Aaj Wo Hi Mohabbat hum Se Bewafa Kar Gayi Hai,

Karte Hai hum Shayara Alvida Zindagi Ko,
Kyo humari Zindagi Aaj Bewafa Ban Gayi Hai.


Aaj Tanhai Ne Aagosh Mein Liya Hai Mujhe,
Meri Be-Baak Muskurahat Bhi Mujhe Bacha Na Saki!



Khamoshiyon Ka Shor Kured Raha Tha Dil Ke Zakhmo Ko,
Maut Ki Hasrat Bhi Mujhe Dard Se Bacha Na Saki!



Unke Laut Aane Ki Umeed To Kabki Dafan Ho Chuki,
Kisi Aur Ki Chahat Bhi Mujhe Bacha Na Saki!



Roye The Zar-Zar Andheron Mein Ab Talak Ki,
Meri Aankhen Bhi Roshniyo Ko Mera Gam Bata Na Saki!



Mera Marna Ek Udhar Hai Meri Zindagi Pe Yaaron,
Meri Tishnagi Bhi Yeh Ehsaan Chuka Na Saki!



Khwaishon Ka Samandar Daba Hai Dil Mein,
Kahin Ruswaiyan Bhi Isme Toofan Na La Saki!



Mohabbat Ek Pal Mein Hai Itni Kar Lee Humne,
Sadiyan Bhi Iski Yaadon Ko Mita Na Saki!



Na Jane Dhoondte Ho Kya Meri Veeran Aankhon Mein,
Chupa Rakhe Hai Hum Ne Toh Kai Toofaan Aankhon Mein,



Kahaan Woh Shokhiyan Pehle Si, Ab Kuch Bhi Nahin Baqi,
Chale Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-Jaan Aankhon Mein,



Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se Toh,
Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Mann Aankhon Mein,



Na Samjho Chup Hain; Toh Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi,
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mein,



Mile The Baad Muddat Ke Humain Tum Ajnabi Ban Kar,
Toh Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mein,



Nahi Ab Phir Se Koi Rista Rakhne Se Kuch Haasil,
Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mein.


Raat ke sannate mein hum ne kya kya dhokay khaye hain
Apna hi jab dil dharka to hum samjhay wo aaye hain
Band jharokay sooni galiyan ya phir ghum ke saaye hain
Chaand sitaare nikle hain par mere liye kya laaye hain
Jis din se tum bichar gaye ye haal hai apni aankhon ka
Jese do baadil saawan ke aapas mein takraaye hain
Ab to raah na bhoolo ge tum ab to hum se aan milo
Dekho hum ne palak palak par sau sau deep jalaye hain
Haaye "Qateel" is tanhaayi mein kya soojhi hai mausam ko
Jis din se wo paas nahi us din se baadil chaaye hain

Mere DIL ko toor gaya .....!!


Woh zameen aur ho aasmaan aur ho
Ab jahan ham raheen woh jahan aur ho
Shehar se dour ja kar baseen gaoun main
Meri janat baney zulf ki chaoun main
In makano se hat kar makan aur ho
Ahtbar aey aa k na jaey kabhi
Is mohabat pe ab shaq na aey kabhi
Is mohabbat k kabhil samaan aur ho
Asi duniya jahan pyaar aazad ho
Aisa gulshan k jis main na saiyad ho
Woh chaman aur ho aashiyan aur ho

kabi jo hum nahi hongay…
kaha kis ko bataogay…
wo apni uljanein sari..
wo bechaini main doobe pal….
wo aankhon main chupe aansu…
kise phir tum dikhao gay…
kabi jo hum nahi hongay…
bahot bechan hongay…
bahot tanha reh jaogay…
abhi bhi tum nahi samjhay…
humari ankahi batain…
magar jab yaad aayeingay…
bahot tum ko rulayeingay…
bahot chaho gay phir bhi…
hamay na paongay



Apani Manzil ke safar me akele ham hai,
Waqt ke saath kadam milate chale ham hai !

Jidhar rukh muda udhar chale ham hai,
Kisko malum ki kidhar chale ham hai !

Chalate rahte hai na jaane kis manzil ke ham hai,
soachte hai ab ye ki kis raahgujar ke ham hai !

Anjaro pe chalne ka hosla rakhate ham hai,
Jo kisi ne na kiya wo karke dikhate ham hai !

Do shabado me shayari ko likhate ham hai,
Ek Shayar ke safar me hamsafar ham hai !

Apani Manzil ke safar me akele ham hai,
Waqt ke saath kadam milate chale ham hai !
Jidhar rukh muda udhar chale ham hai,
Kisko malum ki kidhar chale ham hai !
Chalate rahte hai na jaane kis manzil ke ham hai,
soachte hai ab ye ki kis raahgujar ke ham hai !
Anjaro pe chalne ka hosla rakhate ham hai,
Jo kisi ne na kiya wo karke dikhate ham hai !
Do shabado me shayari ko likhate ham hai,
Ek Shayar ke safar me hamsafar ham hai !

" Aehsas Na Hua Tere Aane ka
        Pata Na Chala Tere Jane ka,
            Fir Bhi,
              "Moujudgi Teri Ham Jan Gae.....!
 
   Aap Kab Hamse Mil Gae
         Aap Kab Hamse Juda Hue,
            Fir Bhi,
              "Muhobbat" Hai Aap ko, Ham Jan Gae......!!"

Thursday 26 May 2011

HARDEST THINGS IN LOVE
a.. Being questioned when you yourself don't understand
b.. Pretending to be innocent of what you know about
c.. Trying to show you care
d.. Trying to forget something you know you NEVER will
e.. Admitting you were wrong after you have been so insistent that you were right


f.. Accepting the fact that you made a MISTAKE
g.. Debating with yourself
h.. Knowing what's wrong and what's right
i.. GROWING UP
j.. ACCEPTING the fact that some things are NOT meant TO BE
k.. Trying to understand when you just can't
l.. Swallowing your pride when it has become TOO HARD and TOO BIG to even gulp it down with water
m.. Being the LAST TO KNOW about something that CONCERNS you most of all
n.. Realizing that you have been TRICKED after you have given your WHOLE TRUST
o.. Realizing that you have taken the most IMPORTANT thing for granted
p.. PARTING with someone you've just LEARNED to LOVE
q.. LETTING GO of someone you've LOVED ALL YOUR LIFE
r.. Losing someone you care deeply about
s.. Saying SORRY when you MEAN it
t.. Saying how you REALLY FEEL and Explaining WHERE YOU STAND
u.. Knowing what is best and yet doing the exact opposite.
v.. Bracing yourself for the worst kind of pain... & still hurting so much.
w.. Loving someone too much and learning to love the pain that goes with it... that even if you learned to let go of the person...you still go on missing the pain you once felt (and there it goes again... you fall again)
x.. Denying to yourself that you're falling... then finally you realize that indeed you have fallen when it's too damn late and you cant get out
y.. Being with someone else when the right one comes along
z.. Knowing deep inside that you love someone yet you can't say it out loud

Tuesday 24 May 2011

Meri khamosh mohabbat


Take Care Scraps, Graphics, Comments, Wish, Glitter and Images for Orkut, Myspace, Facebook
Meri khamosh mohabbat ka 
itna to sila diya hota,

Kabhi ik nazar chahat se 
dekh hee liya hota. 

Hum bhi tujhay ishq-0-mohabbat 
se aashna kartay, 

Bas ik baar apnay dil mein 
aanay to diya hota. 

Kia jata tumhara bas 
hamein hee dil se khushi milti, 

Apni zindagi ki kitaab mein
naam hamara bhi likh liya hota.

Dekh letay zara ghor se shayad, 
Tumharay haath ki lakiron mein

hamari kismat ka bhi diya hota

Na janay us k dil mai kiya tha


Najanay us k dil mai kiya tha

mai ye na jaan payi

usay mujh se mohabbat thee ya nafrat thi?
kabhee hans k galay lagna

kabhee ghussay se yun thukrana
kabhee sansoon ko pholon ki mehak daina

kabhee pholon ko hathon se masal daina
bana laina kabhee mamoolee batoon ko ana ka masla

aur kabhee ghambeer baton ko hansi mai taal daina
kabhee kehna k

''TUM  MAIRI  HO  AUR  MAIRI  HEE RAHO  GEE''
aur phir kehna k

''MAI   TANHA  HON  AUR  YE  DUNIYA KABHEE  MEREE  NAHEEN  HOGEE''
kabhee mujh bin na jeenay ki qasam khana

kabhee tanhai dai jana
tabhee mai ye jaan na paayi kabhee bhee ....

usay mujh se....
 
 mohabbat thi ya nafrat...??

Ab main naheen tumara
Muj ko na yaad aooo

Main tum ko bhul jaoun
Tum muj ko bhul jao

Murjha gaeen woh shakheen
Khiltey the phool jin par

Suhni pari hain raheen
Ujrey huwa hain manzar

Zinda muj ko samjheen
Chairo na aye hawaoo

Baad_e_saba se kah do
Guzre na ab idhar se

Nakam aarzu ko
Kiya kaam naam ber se

Aey badloo ab un ka
Pahgam mat sunao