Sunday 31 July 2011



Jab Tuta Hai Dil Toh Fariyaad Kyu Na Karu
Unki Yaadon Se Dil Ko Azaad Kyu Na Karu

Kaheta Hai Dil Woh Bhul Gaye Hume Toh Kya
Ki Hai Mohabbat Toh Unhe Yaad Kyu Na Karu

Cheen Li Unho Ne Meri Jeene Tak Ki Ummid
Apni Zindagi Khud Hi Barbaad Kyu Na Karu

Likhi Hai Kismat Mein Jo Gumon Ki Parchaayi
Tanhaiyon Se Hi Fir Dil Shaad Kyu Na Karu

Hum Mar Bhi Gaye Toh Unhe Milengi Khushi
Marne Ki Koshish Har Saas Ke Baad Kyu Na Karu

Ye Pyar Ki Bhi Hai Ajib Dastan
Jo Na Kar Ska Pyar Hai Ye Isse Anjan

Par Jisne Kar Liya Uski Khud Ki Kho Jati Hai Pahchan
Hone Ko To Sab Ko Ho Jata Hai Ye Pyar.Par Nibhana Nahi Ise Itna Asaan.

Jo Nibha Lete Hai Uski To Ban Jati Hai Dastan
Par Jo Nahi Nibha Sake Vo To Ho Jate Badnam

Uske Sath Bitaye Har Pal Ke Har Pal Ko
Apni Yadon Me Basa Rakha Hai,

Uski Har Hansi Ko
Hapni Aankhon Mein Chupa Rakha Hai,

Jitna Sath Hai Use
Hapni Yaad Banana Chahta Hun

Mai Bhi Use Yaad Aana Chahta Hu
Hjanta Hun Uska Sath Meri Kismat Nahi

Hai Ye Aarzoo Meri Uski Yaad Ko
Hzindgi Banana Chahta Hun

Hum Intizaar Hi Karte Rahe, Ek Sada Ka Ek Ek Pal Laga
Na Dil Kar Raha Kuch Karne Ko, Na Hi Kisi Tarhaan Se Waqt Guzraa

Wo Aaye Na Ab Tak, Hum Behte Rahe Armaan Sajaatay
Unhone Ne Bulaya Hota Gar Itne Pyaar Se, Tho Hum Tho Dodre Chalay Jaate

Kahaan Hain Aap, Azeem, Humaaree Aankeh Pahtraane Lagee,
Awaaz K Saat Saat, Ubto Tan Kee Aahataen B Aapko Bulaane Lagee

Sidraah Jee Nahi Skati, Bina Aapke, Ye Achchi Tarhaan Se Jaan Laen
Guzara Tho Aapka B Ub Mumkin Nahi Hai, Ye Baat B Aap Maan Laen

Tho Aaen Na Jaldi Se, Bechaen Mann Ko Karaar Deyne
Jo Adhura Mehsus Ho Raha Hai, Upnee “Jaan” Ko Wo Saara Pyaar Deyne

Saturday 30 July 2011



Jinki yaad mein hum deewane ho gaye
Wo hum hi se begaane ho gaye

Shayad unhe talash hai ab naye pyaar ki
Kyunki unki nazar mein hum purane ho gaye

Khwaab Dekhne Se Bhi Ab Dartaa Hoon Main
Agar Toota To Kayamat Hogi.

Khuda Bankar Jo Diya Tune Dard To Kya,
Kabhi Kam Na Ye Ibaadat Hogi.

Mud Kar Dekh Le Agar Ek Baar Pyaar Se Jo Tu,
Sanam Teri Mujh Par Ye Inaayat Hogi.

Aaj Jo Hoon Tarsa Teri Mohabbat Ke Liye Mai,
Kabhi Tujhe Bhi Sanam Meri Jaroorat Hogi.

Kaash Maut Aa Jaye Tere Dar Par O Bedard,
Mujhe Tabhi Naseeb Ye Jannat Hogi.

Jo Kabhi Bhule Se Yaad Aa Jaun Tujhko Mai,
To Mukammal Meri Ye Mohabbat Hogi.

Lo Raaz Ki Baat Aaj Ek Batate Hain
Hum Haskar Apne Gum Chupaate Hain,

Tanha Hote Hain To Ro Lete Ji Bhar Kar
Sar-Ae -Mahfil Aadatan Muskuraate Hain.

Koi Aur Honge Rutabe Ke Aage Jhukne Waale
Hum Sir Bas Khuda Ke Dar Per Jhukaate Hain

Maa Aaj Phir Tere Aanchal Mein Mujhe Sona Hai
Aaja Badi Hasrat Se Dekh Tujhe Bulaate Hain.

Ise Zid Samjho Yaa Humara Ssauq-O-Hunar
Chiraag Hum Tez Hawaayon Mein Hi Jallate Hai

Tumne Mahal”ao”minar,Daulat Kamaai Ho Beshaq
Par Ghair Bhi Pyaar Se Mujhko Gale Lagaate Hain

Sharafat Hameshaa Nazar Jhukaa Kar Chalti Hain
Hum Nigaah Milaate Hain Nazre Nahi Milaate Hain

Ye Mujh Par Upar Waale Ki Inaayat Hain”deepak”
Wo Khud Mit Jaate Jo Hujh Pe Nazar Uthaate Hain

Jitna Bhi Tum Mujh Se Chahe Gila Rakhna
Meri Mohabbat Ka Bhi Zara Hisaab Rakhna

Badle Ho Aaj Halat Kitne Bhi Humare Darmya
Phir Bhi Mujhe Apni Jagha Rakh Ke Dekhna

Shayad Mere Aansuo Pe Gaur Na Karo Tum
Magar Apne Dard Ko Mehsus Zarur Karna

Aaye Koi Mera Khayal Agar Tumhare Zehn Mai
Use Dil Ki Bajaye Kisi Kaaghaz Pe Likh Lena

Hansne Ka Dil Kare Tumhara Kabhi Mere Saath Toh
Apne Khamosh Labo Pe Kuch Dair Mera Naam Rakh Lena

Khule Na Reh Gaye Ho Purane Dino Ke Darwaze Kahi
Tum Aake Ek Din Mere Saath Unhe Dekh Zarur Jaana


Yun Khayaalon Mein Kahaan Tha,
Udaas Hi Raha, Main Jahaan Tha,

Tune Dil Mein Basaaya Mujhe,
Zindagi Ka Hissa Banaaya Mujhe,

Yun To Raha Main Kareeb Sabke,
Dil Lagaane Ke Laayakh Kahaan Tha,

Tere Aane Ke Baad Meri Jaan,
Meri Zindagi Mein Bahaare Aaye,

Suraj Aaya, Chaand Sitaare Aaye,
Tere Bina To Main, Soona Aasmaan Tha


Aaftab Wohi Per Roshni Nai
Alfaaz Wohi Per Mayni Nai
Shamma Wohi Per Mehfil Nai
Parwana Wohi Per Aashqui Nai

Mohabbat Wohi Per Jazbat Naye
Baat Wohi Per Waade Naye
Himmat Wohi Per Iraade Naye
Gulshan Wohi Per Phool Naye

Dost Wohi Per Dosti Nai
Phool Wohi Per Khushboo Nai
Khawab Wohi Per Tabeer Nai
Shakal Wohi Per Tasveer Nai

Karwan Wohi Per Rahi Naye
Baraat Wohi Per Barati Naye
Chand Wohi Per Chandni Nai
Eid Wohi Per Khushiyan Nai

Sonch Wohi Per Sawal Naye
Zindagi Wohi Per Saal Naye
Pyar Wohi Per Ahsaas Naye
Kwahish Wohi Per Khayal Naye

Mit Jauga Main Kasam Hain Aa Mita Ke Dekh Le
Mera Yeh Wada Bhi Aaj, Aazma Ke Dekh Le

Ab Koi Gunah Nahi Deedar-E-Yaar Mein
Janaza Uthne Ko Hain, Aa Mera Chehra To Dekhle

Tere Diye Hue Zakhm Karte Hain Teri Aarzu
Dard Ho Jaye Thoda Kam, Aa Mere Zakhmo Ko Dekh Le

Shehar-E-Khamosha* Me Ab Karte Hain Basera
Mehmaa_n Na Bano Mana, Par Mera Ghar To Dekh Le

Khud Ko Dete Ho Fareb Haskar, Ghayel Ki Maut Pe
Tere Dard Ki Gawahi Tere Aasoo Tuje Dege, Tu Ek Baar Rokar To Dekh Le


दर्द-ए-उल्फत में आंसू बहाए बहुत
इश्क के रंज हमने उठाये बहुत

उनकी जुल्फों की खुशबू न हम पा सके
कहने को नाज़ उनके उठाये बहुत

साथ मिलकर कोई गुनगुनाया नहीं
गीत हमने मुहब्बत के गाये बहुत

उनसे इज़हार तक कर न पाई जुबां
कहने को होंठ हमने हिलाए बहुत

सूरते-हाल फिर भी संभल ना सकी
हमने तन से पसीने बहाए बहुत

वक़्त हमको कभी रास आया नहीं
अपनी हालत पे हम तिलमिलाए बहुत

आंसुओं के समंदर पिए उम्र भर
यूँ दिखावे को हम मुस्कराए बहुत

अंधी राहों पे ही लोग चलते रहे
हमने गलिओं में दीपक जलाये बहुत


Khuda hum ko tum-se, juda na karey
dua yey karo yey, "Khuda na karey".....
Humain aisey dil ki, zaroorat nahin
terey waastey jo, dua na karey.....
Nahin, mera dilbar, to aisa nahin
Jo wada karey aur, wafa na karey.....
yehi, yaar sachhayi ki pehchaan hai
Sahey zakham leykeen, gila na karey.....


Jab Tumhare Dil Mein Mere Liye Pyar Umad Aaye,
Aur Woh Tumhari Aankho Se Chalak Sa Jaye.
Mujhse Apni Dil Ke Baaten Sunane Ko
Yah Dil Tumhara Machal Sa Jaye.
Tab Ek Awaz De Kar Mujhko Bualana
Diya Hai Jo Pyar Ka Vachan Sajan
Tum Apni Is Preet Ko Nibhana
Tanaha Raaton Mein Jab Sanam
Neend Tumhari Uad Si Jaaye.
Subeh Ki Laali Mein Bhi Mere Sajan,
Tumko Bas Akas Mera Hi Nazar Aaye.
Chalati Thandi Hawa Ke Jhonke
Jab Meri Khushbu Tum Tak Pahuchaaye.
Tab Tum Apna Yeh Rup Salona
Aa Ke Mujhe Ek Baar Dikha Jaana
Diya Hai Jo Pyaar Ka Vachan Sajan
Tum Apni Is Preet Ko Nibha Janaa
Baagoo.N Mein Jab Koyal Kuke.
Aur Sawan Ki Ghata Chhaa Jaaye
Apni Baahoo.N Ke Jhule Mein
Mujhe Jhulane Ko Tumhara Jee Lalcha Jaye.
Uljhe Se Mere Baalo.N Ki Giraha Mein.
Dil Tumhara Uljhe Sa Jaaye
Aa Ke Apni Ungaliyo Se Us Girah Ko Suljha Janaa
Jo Ho Tumhre Dil Mein Bhi Kuch Aisa.
Tab Tum Mere Pass Aa Jana
Pahle Milan Ki Woh Mulaqat Suhani.
Yaad Hai Abhi Bhi Mujhko Tumhari Woh Bholi Nadanee.
Mere Haatho Mein Apne Haatho Ko Lekar
Gaya Tha Tumne Jab Pyaar Ka Geet Suhana
Ho Jab Tumhre Dil Mein Bhi Asi Yaado Ka Basara
Tab Tum Apni Preet Ka Vachan Nibhana
Jo Ho Tumhare Dil Mein Kuch Aisa
Tab Tum Mujh Tak Sajan Aa Janaa




EK CHAND TANHA KHARA RAHA MERE AASMAAN SE ZARA PARE,
MERE SAATH SAATH SAFAR ME THA MERI MANZILON SE ZARA PARE,

TERI JUSTUJU K HISAAR SE TERE KHUAB TERE KHAYEAL SE,
MAIN WO SHAKHS THA JO KHARA RAHA TERI CHAHATON SE ZARA PARE,

KABHI DIL KI BAAT KAHI NA THI JO KAHI TO WO BHI DABI DABI,
MERE LAFZ POORE TO THAY MAGAR TERI SMA`ATON SE ZARA PARE,

TU CHALA GAYEA MERE HUMSAFAR ZARA DEKH MUR K TO EK NAZAR,
MERI KASHTYAAN HAIN JALI HUI TERE SAAHILON SE ZARA PARE.


Guzre Dino Ki Yaad Barasati Ghataa Lage
Guzroon Jo Us Gali Se To Thandi Hawa Lage

Mehamaan Banke Aaye Kisi Roz Agar Wo Shakhs
Us Roz Bin Sajaaye Mera Ghar Sajaa Lage

Mai Is Liye Manata Nahi Wasl Ki Khushi
Mere Raqeeb Ki Na Mujhe Bad-Duaa Lage

Wo Qehat Dosti Ka Para Hai K, In Dino
Jo Muskura Ke Baat Kare Aashnaa Lage

Tark-E-Wafa Ke Baad Ye Us Ki Adaa ‘Qateel’
Mujh Ko Sataye Koi To Us Ko Buraa Lage





ZINDAGI KIS TARAH BITAAO GE“,
PAAS JAB APNE HUMEN NA PAAO GE“,

DIN ME TANHAAIYAAN SATAAYEN GI“,
RAAT KO CHAUNK KAR UTH JAAO GE“,

RAAT BHAR NEEND KIYON NAHIN AATI“,
TUM YEH KHUD BHI SAMAJH NA PAAO GE“,

LAUG POOCHEN GE IS TANHAAI KA SABAB“,
KIYA CHHUPAAO GE“ KIYA BATAO GE“,

PALKEN HAR BAAR BHEEG JAAYEN GI“,
JAB KABHI KHUL K MUSKURAO GE“,

MERI YAADEIN HI PAAO GE“.



Hamara Haal Kab Poocha Gaya Hay
Hamain Hasrat Say Bas Dekha Gaya Hay

Kisi Ko Khud Say Barh Kar Chahnay Ka
Muhabbat Nam Q Rakkha Gaya Hay

Woh Kal Hoga Jahan Ki Thokroun May
Abhi Barh Kar Jisay Chooma Gaya Hay

Yahan Jis Nay Bhi Ahcay Sher Likhay
Usi Ka R aasta Rokha Gaya Hay

Mere Zakhmoun Say Andaza Laga Lo
K Mujhay Ko Kis Qadar “CHAHA GAYA HAY”




Apni mohabbat ki koi wazahat nahi karta
Han yeh dil tere siwa koi chahat nahi karta
Ek hum hain jo inpar khushiyan bhi nichawar kar dete hain
Ek woh hai jo dard bhi inayat nahi karta
Jab bhi isay bhoolnay ki koshish karta hoon
Mere andar hai koi jo meri himayat nahi karta
Apni taqdeer ki kitab main hi shayad mohabbat ka baab nahi
Main tum se koi jana shikayat nahi karta.


Kuch Log Bohat Yaad Aate Hain,
Jo Dil Mein Rehte Hain,

Wo Log Jo Mere Apne The,
Kyun Haste Haste Roth Gaye,

Tadpate Hain Siskate Hain,
Kuch Log Bohat Yaad Aate Hain,

Ek Roz Youn Hi Shaam Dhale,
Bus Tanha Tanha Behte The,

Tab Chand Mujhe Uljha Sa Laga,
Dard Mein Mujh Se Aa Ker Kehne Laga,

Malom Hai Tumko Kuch,
Wo Log Jo Mere Apne The,

Kyun Aakhir Mujhse Roth Gaye,
Mein Har Shab Dhondta Rehta Hon,

Per Muskil Hai Tadpate Hain Siskate Hain,
Na Jane Kyun Yaad Aate Hain,

Kuch Log Bohat Yaad Aate Hain.

Kuch Khushi Ke Saye Mein Or Kuch Ghamon Ke Sath Sath,
Zindagi Kat Hi Gayi Hai Uljhano Ke Sath Sath,

Aj Tak Uski Thakan Se Dukh Raha Hai Ye Badan,
Ek Safar Mene Kiya Tha Khuwahishon Ke Sath Sath,

Kis Tarha Khaya Hai Dhoka Kya Bataon Mein Tumhein,
Doston Ke Mashwaray Thhe Sazishon Ke Sath Sath,

Is Dafa Sawan Mein Teri Yaad Ke Badal Rahe,
Is Dafa Mein Khub Roya Barishon Ke Sath Sath,

Shaher Mein Kuch Log Mere Chahnae Wale Bhi Hai,
Phool Bhi Lag Rahe Hai Pathron Ke Sath Sath.



Bikharta Gaya Vajud Har Chalti Hawa Ke Sath,
Hum Is Tarah To Had Se Bikhre Kabhi Na The,


Jis Dard Se Gujarne Lage Hai Subho Shaam,
Hum Dard Se Ese Gujre Kabhi Na The,


Ye Aa Gya Kya Mod Dil Ke Jahan Mein,
Hum Bebasi Se Ese Thehre Kabhi Na The,


Naasur Ban Gya Hai Jo Dard-E-Jigar Yaha,
Ham Jakhmo Ki Khayi Mein Utre Kabhi Na The.

Friday 29 July 2011


मत देख कि कोई शख्स गुनहगार कितना है...
ये देख कि तेरे साथ व़फादार कितना है...
ये मत सोच कि उससे कुछ लोगों को नफरत भी है...
ये देख कि उसको तुझ से प्यार कितना है!

Jiski Bewafai Ka Charcha Saare Bazaar Main Hai,
Ek Wahi Shaks Hai Jo Mere Aitbaar Main Hai,

Na Jaane Kitne Logon Ki Nazron Main Hai,
Masoom Sa Ek Phool Jo Dil-E-Gulzaar Main Hai,

Uski Adakaari Bhi Kya Khoob Hai Yaaron,
Qatil Hai Magar Sabke Aitbaar Main Hai,

Mohabbat Ka Khayal Ham Nahi Rakhte
Bahut Hi Nuksaan Is Karobaar Main Hai.

Saturday 23 July 2011


Najanay us k dil mai kiya tha

mai ye na jaan payi

usay mujh se mohabbat thee ya nafrat thi?

kabhee hans k galay lagna

kabhee ghussay se yun thukrana

kabhee sansoon ko pholon ki mehak daina

kabhee pholon ko hathon se masal daina

bana laina kabhee mamoolee batoon ko ana ka masla

aur kabhee ghambeer baton ko hansi mai taal daina

kabhee kehna k

''TUM  MAIRI  HO  AUR  MAIRI  HEE RAHO  GEE''

aur phir kehna k

''MAI   TANHA  HON  AUR  YE  DUNIYA KABHEE  MEREE  NAHEEN  HOGEE''

kabhee mujh bin na jeenay ki qasam khana

kabhee tanhai dai jana

tabhee mai ye jaan na paayi kabhee bhee ....

usay mujh se....
 
 mohabbat thi ya nafrat...??

Tuesday 19 July 2011

Mere chaand meri ik baat suno, mera tum bin dil weeran suno,
Her subah ki ronaq tum se hai, mere raat k roshan chaand suno,

Tera sub se, her andaaz alag, tere hansne se ho shaam dhanak,
Tere bin her subah shaam suno, mere chaand meri ik baat suno,

Ik waada ker lo tum mujh se, tum ab na rutho ge mujh se,
Ruk jaaye na meri saans suno, mere chaand meri ik baat suno...!!!


Kya Batau'n Ke Kis Qadr Aashiqui Ki Usne
Dar-B-Dar Hokar Bhi, Meri Justujoo Ki Usne
Kyun Na Behta Meri Aankho'n Se Khoon-E-Jigar Aakhir
Khamosh Rehkar Jis Tarhaaa Guftugoo Ki Usne


Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai

Yeh jo gehre sannaate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi namm hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai


Saturday 16 July 2011

wo maang leta to usay mohabbat ka darya deta ,
us ne to shayed ek qatra hi churana chaha,


lot aata to raah mein us k moti bichha detay,
us ne to shayed mujay bhoolnay ka bahana chaha,


meri shiddat ki mohabat hi mera jurm ban gai ,
us ne to shayed kuch faasla hi barhana chaha


es qadar dard bhi ab mujay chubta nhi ,
us ne to shayed ye fun hi mujhay sikhana chaha,


Mohabbat k safr mein koi rasta nahin deta...
Zameen wakif nahin banti,falak saaya nahin deta...

Khushi or dukh k mosam sb k apnay apnay hotay hain...

Kisi ko apnay hisay ka koi lamha nahin deta...
Udaasi jis k dil mein ho usi ki neend urti hai...

Kisi ko apni ankhon se koi sapna nahin deta...

Uthana khud he parta hai thaka toota badan apna...

K JAB TAK SAANS CHALTI HAI KOI KANDHA NAHIN DETA....


“Mere wajood me WAFA ki roshni utar de.
Phr itna piyar de k mujh ko chahato me maar de.


Boht uddas tha so utth k tere pas agaya.
Kuch aisi baat kr jo dil ko chain or qarar de.


Suna he teri 1 nazar sanwarti he zindagi.
Jo ho sakey to aaj meri zindagi sanwar de.


Ek Tmana Hai Faqt Mujh Pe Mehrban Raho♥
Tum kisi Aur Ko Dekho To Bura Lgta Hai,


Meri Chaht Ka Taqaza Hai Mere Sath Raho♥
Ghair Ka Hath Jo Thamo To Bura Lagta Hai,


Arzo Hai Tere Har Roop Ko Har Pal Dekhon♥
Tum Mere Paas Se Utho To Bura Lagta Hai,


Roz O Shab Aaj Bhi Parwah Hai Tumhari Mujh ko♥
Tum Kisi Aur Ko Socho To Bura Lagta Hai,


Ye Meri Rooh Tarasti Hai Tmhari Khushbo Ko
Tum Kahein Aur Jo Mehko To Bura Lagta Hai♥
Kbhi Ulfat Bhara Lehja Kbhi Utra Hua Chehra,
Samajh Mein Kuch Nahi Aata Bata MERA Gunah Kya Hy?
Meri Uljhan Mita Tou Dy,
Mujhy Itna Bata Tou Dy,
Main Mujrim Hoon Ya Mehram Hun Saza Kya Hy Jazaa Kya Hy?
Meri Saansei’n Tou Chalti Hain Teri Yaad0′n Sy Aey Humdam.
Nahi Fursat K Ye Soch0′n Fana Kia Hy Baqa Kia Hy…?
MERA Ye Dil,
Meri Dharkan,
Meri Saansei’n Ye Jaan…
Ye Sb Kuch Naam TERE Hy Bata Peeche Bacha Kya Hy?
Kabhi mom ban k pighal gya,
Kabhi girte girte sambhal gya,


Usay rokta b to kis tarah,
K wo shakhs itna ajeeb tha,


Kabhi tarap utha meri aah se,
Kabhi ashk se na pighal ska.!


Sar-e-rah mila wo agr kabhi,
To nazar chura k guzar gya,


Wo utar gaya meri ankh se,
Mere dil se kyun na utar ska.


Wo chala gya jaha chor k,
Main wahan se phir na palat ska.


Wo to sambhl gaya Mujhe chor k,
Main bikhar k phir na simat saka…
Wahan Na ” Phool ” Khilte Hain Na Hi ” Mosum ” Badalte Hain
Wahan To ” Kuch ” Nahi Hota Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”

Yahan ” Wese ” To Her ” Soghaat ” Aasaani Se Milti Hai
Per Mera ” Dil ” Nahi Lugta Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”

Yahan To ” Log ” Sudiyoun Ko Bhi ” Lumhon ” Me Badulte Hain
Mera Ek ” Pal ” Nahi Kut’ta Jahan Per ” Tum Nahi Hote

Sabub ” Rone ” Ka Wo Pooche To Itna Keh Dena ” Mere Dost ”
Mujhe ” Hunsna ” Nahi Aata Jahan Per ” Tum Nahi Hote ”

Kuch Apni Sunaao to Baat Bane
Thoda Kareeb aao to Baat Bane


Roj Mila karte ho yun to humse
Kabhi Dil ki Btaao to Baat Bane

Keh Do Dil Ka Dard Sab Apna
Thodi Duriya Mitaao to Baat Bane

Khub state ho khawabo me aakar
Kabhi Sach Me Sataao to Baat Bane

Na shikwa Rahe Tumse Kabhi
Aise toot ke chaho to Baat Bane

Thodi Paresha.n aur Udaas hu Mai
Mera Dil Behlaao to Baat Bane

Hamein Pasand Hai ek Bas tera Sath
Tum Bhi sab Bhul jaao to Baat Bane

Mere dil men tu hi tu hai dil ki dava kya karun 
Dil bhi tu hai jan bhi tu hai tujhape fida kya karun 
Khud ko khokar tujhako pa kar kya kya mila kya kahun 
Tera hoke jine men kya kya aya maza kya kahun 
Kaise din hain kaisi raten kaisi fiza kya kahun 
Meri hoke tune mujhako kya kya diya kya kahun 
Meri pahalu men jab tu hai phir main dua kya karun 
Dil bhi tu hai jan bhi tu hai tujhape fida kya karun

Friday 15 July 2011








Jo dekha uski aankhon mein ashk the bewafai na thi, Woh palkein jhuka deta to sari kaynaat tham jati. Aadin hath dil par rakh kar yakeen dila raha tha wo, Jo poochhte usse maksad-e-bewafai saans ruk jati.
Abi jab humne apni ankhein band ki, To aap humein sab se khush nazar aaye, Agar ye tareeka hai aapko khush dekhne ka, To khuda kare ye aankhein sada ke liye band ho jaye