Sunday 14 December 2014

Teri Yaadein Bahot Tadpati Hai.




Teri Yaadein Ashq Ban Ke,
Palkon Se Chalak Jati Hai,

Mujhe Kahi Pukara Hai Tumne,
Hawaye Chupke Se Kah Jati Hai,

Kash Tujhse Mil Pata To,
Tujhse Yeh Kahta Jaroor,


Kante Ki Tarah Chubhta Hai Dil Mein,
Teri Yaadein Bahot Tadpati Hai.

Saturday 13 December 2014

Aye Dost Tumse Itni Umeed Karne Laga Hoon




Aye Dost Tumse Itni Umeed Rakhne Laga Hoon,
Gum Nahi Par Khushi Mein Tera Saath Chahane Laga Hoon,

Meri Is Chahat Ko Kabhi Kam Hone Mat Dena,
Gum Mein Sahi Par Khushi Mein Rone Mat Dena,

Kis Dard Mein Jalta Hoon Kisi Aur Se Kehne Mat Dena,
Kyunki Apni Jaan Se Jayada Tumhe Payar Karne Laga Hoon,

Aye Dost Tumse Itni Umeed Karne Laga Hoon.

Friday 18 April 2014

wo apne chehre mein








wo apne chehre mein sau aftaab rakhte hain

is liye to vo rukh pe naqab rakhte hain

vo paas baithe to aati hai dilruba khushbu


vo apne hothon pe khilte gulaab rakhte hain


har ek varq mein tum hi tum ho jaan-e-mehbubi


hum apne dil ki kuchh aisi kitaab rakhte hain


jahaan-e-ishq mein sohni kahin dikhai de


hum apni aankh mein kitne chenaab rakhte hain.

phoolon mein hoti hai wo khushbu





 

phoolon mein hoti hai wo khushbu


jo man ko bhaa jaati hai


jo is man ko chhute hi


ek madhur geet ban jaati hai


vibhinnataa hoti hai rango mein inke


jinki man mein tasveer ban jaati hai


in phoolon mein hoti hai itni kashish


jo har dil ko lubhaa jaati hai


jab inhi phoolon ko joda jaye


to ek manmohak maala ban jaati hai


jise arpit karo bhagvaan ko


to ye araadhana ban jaati hai


jise arpit kar do shaheedon ko


to yahi shraddhaanjali ban jaati hai


ye hai wo sundar phoolon ki daastaan


jo har dil mein samaati hai.

Nazar bacha key rakhta hun


Nazar bacha key rakhta hun


 magar har dum nazar usi pey rakhta hau .

  palkon main ashqo kaa sailaab chhupa ke  ham

chale aaye mehfil se aankh bacha ke 


duniya ke swal nashter ban ke chubhte hain 
 
 islie baithe hain khud ko sabse chhupa ke 


kahi gher naa len aake hame dard ke ghere 
 baithe hain khud hi zakmo pe namak laga ke 
  
 sehte hain dard kayuki hame is se payaar hai 

 rakha hai isne her waqt hame sine se laga ke 

jeenay ka ehsaas hai tumhari yaad

MERE KHYAALO SE





mere khyaalon se shayad woh sharmaati hogi
neend magar usko bhi nahi aati hogi
chand ki khud koi roshni nahin hoti
yeh sochkar woh aur bhi itraati hogi
kabhi kankhiyon se dekhkar
kabhi titliyon se khelkar
dhadkanein uske dil ki bhi badh jaati hogi
nadi ko dekhkar behak jaati hai
uski baaton mein rawaani chalak aati hogi
khair ki bijli phalak pe kadakti hai
yeh sochkar woh aur bhi seham jaati hogi
mera jikr kabhi to aa jaata hoga
ki woh apne aapme simat jaati hogi
yeh zindagi kitni choti hoti hai
pal bhar mein zinda pal bhar mein mar jaati hogi.