Thursday 23 June 2011


Pyar kisi se jo karega
ruswai hi milegi
wafa karlo chahe jitni
bewafai hi milegi
chaho chahe jitna bhi kisi ko
jab ankh khulegi toh tanhai hi milegi

Baat chali teri aankhon sey
ja pohncha paimanay tak
khinch rahi hai teri ulfat,
aaj mujhey maikhaney tak
ishq ki batey gum ki batey,
dunya wale kartey hain
kis ne shama ka dukh dekha,
kaun gaya parwanay tak
ishq nahin hey tum ko mujh say,
sirf bahaney karti ho
yu hi bahaney qayam rakhna,
tum meray mer jaane tak
itna hi kehna hey tum say,
mumkin ho to aa jana,
aa hi gaye toh rukna bhi ho ga,
aankhon k pathraney tak..

 Ki jis raah se meri maiyyat chali thi 


Ki jis raah se meri maiyyat chali thi, 
Ushi raah par ek larki khari thi, 
Ke jaise hi nikla janaja mera bahar, 
Wo chehaki bare jor se muskurakar, 
Ushe dekhkar the sabhi log heran, 
Ye kyun hans rahi hai jab hum hain pareshan, 
Tabhi ek bujurg ko khayal aa gaya khuch, 
Hansi uski dekhi malal aa gaya khuch, 
Wo larki se bole kyun hansti ho ispar, 
Nahi maut se koi ja paya bachkar, 
Jo aaya jahan main ushe jana parega, 
Ye wada khuda se nibhana parega, 
Wo larki yun boli, Wo larki yun boli, 
Bare hi adab se Zuban ushne kholi, 
Ye wada tha chahe jiyenge, marenge, 
Harek haal main muskura ke milenge, 
Mere muskurane ki bus itni kahani, 
Na palkon pe aanshu na aankhon main paani, 
Hai "Panchee" pata ke sabhi ko hai marna, 
Magar tum mohabbat khuch aise hi karma, 
Jamane se chahe tum jaise nibhana, 
Humain dekh kar tum sada muskurana,


Waise To Ishq Se Hum Darte Hain,
Phir Bhi Hum Unse Pyaar Karte Hain,



Bhool Se Bhi Kisi Ka Dil Toote,
Hum To Na Aisi Baat Karte Hain,



Meri Baaton Se Unko Dukh Pahunche,
Aisi Baaton Se Hum To Darte Hain,



Baat Hai Khaas Mere Yaaron Mein,
Wo Bahut Mujhse Pyaar Karte Hain,



Door Jate Hain Ek Jhat Ke Mein,
Ek Galti Talash Karte Hain,



Jane Kaisi Kami Hai Mujh Mein ,
Log Nafrat Hi Mujhse Karte Hain.

Tera pyaar chahiye




Na Zameen, na sitare, 
Na chand raat chahiye 
Dil men mere basne wale 
Tera pyaar chahiye 

Na dua, na khuda, 
Na hathon mai talwar chahiye 
Musibat men sanam hathon men 
Tera haath chahiye 

Kahun na main kuch, 
Samajh jao tum sab kuch 
Dil mai tumhare mere liye 
Jazbaat chahiye 

Larh lunga har tufan se 
Akaile hi sanam 
Par sahil pe tera dua se 
Utha haath chahiye

Wednesday 22 June 2011


Muhabbaton Kay Diay Roh Main Jalata hai 
Tumhara Qarb Meray Saray Ghum Mitata Hai

Yeh Aik Hum Hain Jo Teray LIay taraptay hain 
Yahain Kisi Kay Liay Kon Ghum uthata Hai ?

Meray Dukhoon KAy samandar saY us ka Kia Rishta ?
Woh Sirf Apni Hi Rodawad-e-Ghum Sunata hai 

Wagarna Shiar-e-Sukhan say Hamara Kia Nata !
Hamaray Zehan Main Aik Naam Jagmagata Hai 

Agar Woh Rotay Tu Karta Hon Minatin Uss Ki
Agar Main Rooth Jaon Tu Woh Kab Mujhe manata Hai !

Meri Wafa Pay Abhi Tak Yaqeen Nahi hai Us Ko 
Mera Rafeeq Mujhe Ab Bhi Azmata hai 

Yeh Kis ka naam darakta hai Meri Sansoon Main 
Yeh Kon Hai Jo nay RastaY Dekhata hai ?

Ussi Ki Rahatin Mujh Ko Aziz Hain 
Woh Aik Shaks Jo Har Pal Mujhe Rulata Hai


Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta

Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta

Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker
Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta

Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta

Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta

Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi
Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta 

Wo Kuch Na Kehte... 


dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete

hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete

wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete

tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete

tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete

samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete
 

Zera tham tham k bersa kr 


Zera tham tham k bersa kr 
Abi itna na rotha kr 

Abi to door hy manzil 
Abi khud ko na tenha kar 

Teri ankhein samandar hn 
Samaundar ko na sehra kr 

Mera dil dob jata hy 
Muj aisy na daikha kr 

Hawa muj se kehey pagal 
Na raston mn beitha kar 

Wo ik din chor jaey ga 
Usey itna na chaha kar.!

 Kaise woh zamane likhte 


Likhe pade hote agar 
To tum ko khat likhte 
Us khat main tumhain hum 
Kya kya likhne ke bahane likhte 
Kuch khawab adhure likhte 
Kuch geet suhane likhte 


Jo baat abhi tak tum se 
Ghabra kar bol na paye 
Jo bheet tumhare aage 
Sharma kar khol na paye 
Apna dewana pan to 
Khol kar dewane likhte 


Likhte k ghani barkha main 
Suraj ki kiran lagti ho 
Sawan ki ghata main lipta 
Chanda ka badan lagti ho 
Yadoon main tumari kho kar 
Hum bhi afsane likhte 


Jab shaam ko thandi thandi 
Dakhan se hawa aati hay 
Har sans main dhimi dhimi 
Ek aag laga jati hay 
Kat te hain tumare gham main 
Kaise woh zamane likhte

Tuesday 21 June 2011



http://i1.glitter-graphics.org/pub/989/989321gyey13hzit.gif
Dard Se Juda Rishta Aam Hai
Ashqo Se Likha Mera Kalaam Hai
Ishq Na Karna Kisi Se, Ye Mera Paigam Hai
Gumo Ka Sagar Hi Mera Naam Hai.
http://i1.glitter-graphics.org/pub/989/989321gyey13hzit.gif

अपने दिल को पत्थर का बना कर रखना ,हर चोट के निशान को सजा कर रखना ।
उड़ना हवा में खुल कर लेकिन ,
अपने कदमों को ज़मी से मिला कर रखना ।
छाव में माना सुकून मिलता है बहुत ,
फिर भी धूप में खुद को जला कर रखना ।
उम्रभर साथ तो रिश्ते नहीं रहते हैं ,
यादों में हर किसी को जिन्दा रखना ।
वक्त के साथ चलते-चलते , खो ना जाना ,
खुद को दुनिया से छिपा कर रखना ।
रातभर जाग कर रोना चाहो जो कभी ,
अपने चेहरे को दोस्तों से छिपा कर रखना ।
तुफानो को कब तक रोक सकोगे तुम ,
कश्ती और मांझी का याद पता रखना ।
हर कहीं जिन्दगी एक सी ही होती हैं ,
अपने ज़ख्मों को अपनो को बता कर रखना ।
मन्दिरो में ही मिलते हो भगवान जरुरी नहीं ,
हर किसी से रिश्ता बना कर रखना ।
मरना जीना बस में कहाँ है अपने ,
हर पल में जिन्दगी का लुफ्त उठाये रखना ।
दर्द कभी आखरी नहीं होता ,
अपनी आँखों में अश्को को बचा कर रखना ।
सूरज तो रोज ही आता है मगर ,
अपने दिलो में ‘ दीप ‘ को जला कर रखना


Chale Wo Qadam Qadm Jo Saath Mere,
To Un K Saath Se Pyaar Ho Jaaye,



Thaame Jo Pyaar Se Haath Mera
To Apne Hi Haath Se Pyaar Ho Jaaye,



Suhaani Raat Se Pyaar Ho Jaaye,


Jis Baat Me Aaye Zikar Un Ka,

To Ussi Baat Se Pyaar Ho Jaaye,


Jab Pukaara Pyaar Se Mera Naam,

To Apne Hi Naam Se Pyaar Ho Jaaye,


Agar Hai Pyaar Itna Khoobsurat,

To Kaash Aap Ko Bhi Hum Se Pyaar Ho Jaaye.



Mom Ki Tarha Pighhalte Hue Dekha Us Ko,
Rut Jo Badli To Badalte Hue Dekha Us Ko,



Wo Jo Kaanton Ko Bhi Narmi Se Choota Tha,
Hum Ne Phoolon Ko Masalte Hue Dekha Us Ko,



Jaane Kis Gham Ko Chhupaane Ki Tamanna Hai Usse,
Aaj Har Baat Pe Hanste Hue Dekha Us Ko,



Jaane Wo Maangne Jaata Hai Duaon Mein Kise,
Haath Uthate Hi Sisakte Hue Dekha Us Ko.



Ek Chand Tanha Khara Raha Mere Aasmaan Se Zara Pare,
Mere Saath Saath Safar Me Tha Meri Manzilon Se Zara Pare,



Teri Justuju Ke Hisaar Se Tere Khawaab Tere Khayal Se,
Main Wo Shakhs Tha Jo Khara Raha Teri Chahaton Se Zara Pare,



Kabhi Dil Ki Baat Kahi Na Thi Jo Kahi To Wo Bhi Dabi Dabi,
Mere Lafz Poore To Thay Magar Teri Smaaton Se Zara Pare,



Tu Chala Gaya Mere Humsafar Zara Dekh Mur Ke To Ek Nazar,
Meri Kashtiyaan Hain Jali Hui Tere Saahilon Se Zara Pare.

Sunday 19 June 2011


Kehte hai, kuch log zindagi mein aate hai iss tarah

Kab, kaise jigar jaan dost ban jaate hai kya pata

Par… ab mai apni kismat ko aazmaata nahi...

Kee main ab dost koi banaata nahin



Kuch log mile the mujhe bhi raah-e-zindagi mein

Baharo me saath chale bhee the wo mere

Toofano me koi saath chal paata nahi..

Kee mai ab dost koi banaata nahi



Har baar yakee karta hoo sabke fareb par..

Rakhta hoo apne yakee ke tukde samet kar..

Par... ab .... kisi pe bhee aitbaar aata nahi..

Kee mai ab dost koi banaata nahi



Ek baat kahu..



Khush ho to dunaya saath hoti hai...

Rooth jao… to koi manata nahi..

Isiliye shayad…. Mai kisi ko bhee apne gum batata nahi…

Aur..

Kee mai ab dost koi banaata nahi

Mohabat kee baat thee na nafrat kee baat hai
Milna hamara to bas kismat kee baat hai
khuda khud kisi kisi se milne aata hai
Ye to bas apni apni ibadat kee baat hai..

nazre mila ke bechain se ho gaye hum
Ye to bas unki nazro kee nazakat kee baat hai
Aur...
Nazre mila ke bhee jee rahe hai hum
Ye to bas unki nazr-e-inayat kee baat hai...

Main teri ankhon se nahi
In may doob janey se darti hoon

Main teri muhabat se nahi
Teri intaha se darti hoon
Main raat ki tareeqi se nahi
Is tareeqi main basi apni tanhaiee se darti hoon
Mujhe bohat chahat hai tujhe paney ki
Liken tere door janey se darti hoon

Mohababat kiya cheej hai kabhi kisi ko ho jati hai
Bade budhe aur naujawan sabhi ke dil ko bha jati hai

Jindgi sawar jati hai mohababat ke nam se
Bikharti hai khushboo jami par bahar jab uver aati hai

Mohababat rogo ki dawa hai aisi dilbar
Gam bhool jate hain lognasha dil par chha jata hai

Sabhi karte hain intezar mohababat ke samay ka
Umar ke padaw par jab kabhi najar main aa jati hai

Kiya karen hum baya juban se mohababat ke bare main
Jab sari duniya hi iske pichhe daur lagati hai

Kiya kahen kisi ke dil main kiya hai Dost
Har shakhs ke dil par jab mohababate raj karte hain

Kabhi aansoo to kabhi khushi bechi
Hum garibon ne to apni bebasi bechi
Chand sanse kharidne ke liye hamne
Roz thori thori si apni zindagi bechi
Jab rulane laga khud ka saya hame
Apni zindagi ki bhuji hui si roshni bechi
Ek hum the jo bik gaye dosti me khud hi
Warna duniya walo ne to apni dosti bechi

Shaam hote hee kyon, Diye jal jaate hain
Kyon aankhein nam hoti hai, kyon ashk dhal jaate hain
Taarikiyo’n ko cheerkar, ye lau jagmagaati hai
Sehar hote hee kyon, Shamma dhal jaati hai
Aksar tanha raato mein, Kyon bebasi jhalakti hai
Kyon din khushi manata hai, Kyon raat udaas hoti ha
iShaam hote hi kyon, Diye jal jaate hain
Kyon aankhein nam hoti hai, kyon ashk dhal jaate hain
Inn waadiyo’n mein khudko, mai Kyon udaas paata hoon
Ye Surile parinde bhi, Kyon udaas geet gaate hain
Sehraa mein hoon mai tanha, Iss neele falak ke neeche
Ye aasmaa’n bhi mujhpar, kyon bijliyaa’n giraate hain
Shaam hote hi kyon, Diye jal jaate hain
Kyon aankhein nam hoti hai, kyon ashk dhal jaate hain

Kaisi thi woh raat kuch keh sakta nahi main
Chahoon kehna to bayan kar sakta nahi mai,

Dulhan ban ke meri jab woh bahoon main aayee thi
Sej saji thi phoolon ki par us ne mehkai thi,

Ghunghat mein ik chand tha aur sirf tanhai thi
Awaaz dil ke dhadak ne ki bhi phir zor se aayee thi,

Pyar se jo maine ghunghat chand par se hataya tha
Pyar ka rang bhi utarkar uske chehre par aya tha,

Bahoon mein le kar usko phir laboo ki lali churai thi
Us sard raat mein saanse bhi shola ban kar takrai thi,

Tika,bindi,kangna, payal sabne shor machaya tha
Jab uske shokh badan ko maine haath lagaya tha,

Doob gaye the hum dono us dehekti pyar ki aag mein
Tod diya tha hum ne kaliyo ko uske pyar ke baag mein,

Kya batlaaye ab hum, woh raat kis kadar nirali thi
Hamare suhag ki woh raat,jo itni matwali thi……...............

Wo tera Ruth Jana..
Phir U hi Mushkurana..
Wo kisi Ko Yaad Karna..
Aur Achanak Phool Jana..
Wo nam C Akane Teri..
Be-Khayali Ka wo Aalam..
Wo Tanha C Rato Mai ..
Kisi Ka intzar Karna..
Kabhi Barish Ki Bundee..
Hateli Per Mahsus Karna..
Suno Tum Laut Aao Na..
Muje Wo sab Satata Hai..
Wo Tera Pass Na Hona..
Bhut Mahsus hota hai..
Suno tum Laut Aao Na..
Suno tum Laut Aao Na..

isse pahale ke yaad tu aaye .....!!



isse pahale ke yaad tu aaye,
meri aankhoN mein phir lahu aaye,
tujhase rista main toD jaaunga,
main tera shahar chhoD jaunga,
main tera shahar chhoD jaunga..

mujhako gum hai teri judaaie ka,
ranz hai apani bewfaaie ka,
apane vaade se phir gaya hoon main,
apani najaroN se gir gaya hoon main,
esse pahale ki tu mujhe chhoDe,
mujhako Thukarye mera dil toDe,
apana dil khud main toD jaunga,
main tera shahar chhoD jaunga..

tera mujarim main tera harjaaie,
saath le jaaungaa ye rushvaaie,
daag daaman se ye miTa dunga,
khud ko etani baDee saja dunga,
esse pahale ke log taane deN,
tere aanshu na mujhako jaane deN,
ye talluuk main toD jaunga,
main tera shahar chhoD jaunga.. 

haN mera entajaar to hoga,
ab bhi kuchh aitbaar to hoga,
tu khula chhoD degi dervaja,
per galat hai ye tera andaja,
esse pahale ke aah dil bher de,
sab gunahoN ko maaf tu ker de,
ye bharam bhi main toD jaunga,
main tera shahar chhoD jaunga..

esse pahale ke yaad tu aaye,
meri aankhoN mein phir lahu aaye,
tujhase rista main toD jaaunga,
main tera shahar chhoD jaunga..
main tera..shahar chhoD jaunga..

Teri yaad se rishta kal bhi tha
teri yaad se rishta aaj bhi hai,,

Dil apna dukhta kal bhi tha
dil ye udaas aaj bhi hai,,

Jo pyar hum tum karte they
woh pyar to zinda aaj bhi hai,,

Hum bichad gaye is doori mein
tum door ho majboori mein,,

Kabhi waqt mile to chali ana
khula dil ka darwaza aaj bhi hai,,

Na sataao, na tadpaao….. .
na mehfil mein yu tanha chodo,

Teri yaad me jaage kal bhi they,
teri yaad me jaage aaj bhi hain……

Tanha rehna seekh raha hoon 
Mar kay jeena seekh raha hoon 
Mang kay pana seekh liya hai 
Pa kay khona seekh raha hoon 
Sabar ko zad-e-rah bana kar 
Kanch pay chalna seekh raha hoon 
Phirtay, phirtay sehra, sehra 
Pyaas ko peena seekh raha hoon 
Marham to rakhna na aaya 
Zakhm khoorachna seekh raha hoon 
Jeenay kay hain ajab taqazay 
Zinda rehna seekh raha hoon 
Madhooshee nay bohat sataaya 
Hosh main rehna seekh raha hoon 
Barson guzray phir bhi ab tak 
Maan say bichcharna seekh raha hoon 
Dar kar zehar kay pyaalay say 
Such ko chupaana seekh raha hoon 
Rotay rotay auron par 
Khud pay hasna seekh raha hoon 
Ghum nay mujh ko bohat hai khaya 
Ab gham khana seekh raha hoon 
Is pay hairan hotee hoon 
Kartab, kya kya seekh raha hoon 
Mang kay pana seekh liya hai 
Pa kay khona seekh raha hoon 
Sabar ko zad-e-rah bana kar 
Kanch pay chalna seekh raha hoon

Mujhe pata hai tera drad kiya hai.. 
Tujhe milli jo pyar ki saja wo kiya hai.. 
Me ye nahi kehta ki wo tere liye kiya hai.. 
Per jarra tuo khud souch tu usske liye kiya hai.. 
Nam hai teri ankhe tuo bhi ab kiya hai.. 
Teri ankho me moti usske liye pyar nahi tuo kiya hai..
Per hai kissike ankho me tere liye apni wo kiya hai.. 
Kissike dil me aaj bhi hai tere liye kahani wo kiya hai.. 
Mat bhul purani baate per nayee shurwat karne me kiya hai.. 
Tere apno ko jab thodi khushi mile essa karne me kiya hai.. 
Kisike intezar me waqt bitane me kiya hai.. 
Koi tujhe dekh muskuraye usske aage jane me kiya hai.. 
Tune roke bhi agar dariya bahadiya tuo kiya hai.. 
Teri hassi ko dekh koi ganga nahaye tuo kiya hai....... 
Me kuch samjhana nahi cahata samjhane me kiya hai..
Agar kissike liye roo sakte hai tuo kissike liye muskurane me harz hi kiya hai……..