Saturday 24 November 2012

A poem by a girl who left her lover for her family...... She writes these words to her lover"s new gf;



Aaj apne parivaar k liye maine mera pyaaar kho diya..
ye dard sehne k baad b logo ne mujhe bewafa keh diya..

Main khud ko maaf nhi kr paaungi kabhi,
ye usse me samjha nhi paaungi kabhi..

Tum jab aaogi uski zindagi me...usee sambhaal lena,
bhool jaae wo mujhe usse itna pyaar dena..

Use meetha nahi pasand hai khyal rkhna..
Sardiyo me aksar bimar ho jata hai ,dhyaan rkhna..

Kabhi kabhi bahut gussa ho jata hai..
Pyaar se poocho to ro jaata hai..

Usse gusse mai kabhi kuch karne mat denaa..
usse Baarisho me kabhi akela rehne mat denaa..

Door jaaye kabhi to uska hath thaam lena..
Tumhe waqt na de paaye to naraz na hona..

Kabhi mujhe yaad kar baithe to usse chodh kar mat jaana..
Bas usse kass kar apni bahon me bar lena..

Bhoolega wo sab kuch ek din,
Bhool jayega wo mujhe ek din.

Mujhay us nay kaha aao nai dunya basatay hain




Mujhay us nay kaha aao nai dunya basatay hainUsay soojhi shararat thi, yeh dil kuch aur samjha tha

'Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Usay hansnay ki aadat thi, yeh dil kuch aur samjha tha 

Mujhay us nay kaha aao nai dunya basatay hain Usay soojhi shararat thi, yeh dil kuch aur samjha tha 

Hamesha us ki aankhon main dhanak kay rang hotay thay Ye us ki aam aadat thi, yeh dil kuch aur samjha tha 

Woh meray pass bethi dair tuk ghazlain meri sunti Usay khud say Muhabbat thi, yeh dil kuch aur samjha tha 

Meray kandhay pe sir rukh ker kaheen kho gai thi wo Yeh ik waqti inayat thi, yeh dil kuch aur samjha tha 

Mujhay wo daikh ker aksar nigahain phair leti thi Yeh dur perda haqarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha..'

bikhar jaya kerte hain

Monday 2 July 2012

Kho Gayaa Mera Pyaar, Dhundun Kahaan Kahaan,





Kho Gayaa Mera Pyaar, Dhundun Kahaan Kahaan,
Raah Andheri Hai, Chiraag Jalaoun Kahaan Kahaan,

Saara Sansaar Hai Meri Chaahat Ke Khilaaf Khudaayaa,
Tere Iss Jahan Main Aag Lagaaoun Kahaan Kahaan,

Jahaan Bhi Dekhun, Har Shay Main Tu Hi Nazar Aaye,
Sajde Main Apne Sar Ko Jhukaaoun Kahaan Kahaan,

Basar-E-Mazhab Dil Main Hai, Ghutnon Main Nahin,
Duaa Ke Waastey Qaalin Bichaoun Kahaan Kahaan,

Rukh Par Dusra Chehra Lagaaye Asli Soorat Dhaank Li,
Khud Hi Se Apne Aapko Chupaaoun Kahaan Kahaan,

Mehfil Hazaar Aur Kadardaan-E-Amanush Beshumaar,
Ghazal Apni Jaakar Mein Sunaaoun Kahaan Kahaan.

Jahan Bhi Rahoon Teri Yaadein Sath Rakhta Hoon





Guzre Dinon Ki Achhi Baatein Yaad Rakhta Hoon,
Khushiyon Mein Bhi Ashkon Ki Baratein Sath Rakhta Hoon,


Main Ab Aksar Tanha Ho Kar Bhi Tanha Nahi Rehta,
Jahan Bhi Rahoon Teri Yaadein Sath Rakhta Hoon,


Mujh Ko Kabhi Zaroorat Nahi Pari Mashk O Atar Ki,
Tere Badan Ki Khushbu, Teri Mehkati Sansein Sath Rakhta Hoon,


Kese Bhool Sakta Hoon Main Pata Apne Ghar Ka,
Tere Kadmon Ke Nishan, Teri Ankhen Sath Rakhta Hoon,


Jo Guzre The Bazuon Mein Tere, Ehd O Paimaan Karte Hue,
Wo Sare Din Wo Sari Raatein Sath Rakhta Hoon,


Wo Tera Mujhe Se Ladna, Roothna, Phir Khud Hi Maan Jana,
In Shararto Mein Chupi Thi Jo Wo Mohabbate Sath Rakhta Hoon,


Mehkte Rangeen Kaghzon Ke Khat, In Mein Se Sajay Gulaab Sare,
Chehre Pyar Ki Sab Ye Soghatain Sath Rakhta Hoon Jin Per Kabhi,


Chale The Hum Hath Mein Dale Hath Mein Wo,
Sab Raste Sab Rahain Sath Rakhta Hoon.

Use Humsafar Banane Ko Ji Chahta Hai




Zameen Par Paon Hain, Phir Bhi Aasman Choone Ko Ji Chahta Hai,
Hazaron Taron Ke Beech Mein, Ek Chand Pane Ko Ji Chahta Hai,


Har Pal Badalta Rehta Hai Iska Faisla, Na Jane Kya Ye Dil Chahta Hai,
Tumhe Pasand Hai Meri Ruswai, Phir Bhi Tujhe Hasane Ko Ji Chahta Hai,


Tum Na Samjhoge Mere Jazbaat, Phir Bhi Tumhe Samjhane Ko Ji Chahta Hai,
Thi Chah Tujhe Paane Ki Ab Tak, Kyon Ab Tujhe Bhul Jane Ko Ji Chahta Hai,


Ab Bhul Kar Is Duniya Ko, Nayi Duniya Banane Ko Ji Chahta Hai,
Jis Se Pyari Ho Meri Duniya, Use Humsafar Banane Ko Ji Chahta Hai.

Sunday 24 June 2012

तुमसे पूछे कौन हूँ मैं , तुम कह देना कोई ख़ास नहीं .





तुमसे पूछे कौन हूँ मैं , तुम कह देना कोई ख़ास नहीं .

एक दोस्त है कच्चा पक्का सा ,
एक झूठ है आधा सच्चा सा .
जज़्बात को ढके एक पर्दा बस ,
एक बहाना है अच्छा अच्छा सा .

जीवन का एक ऐसा साथी है ,
जो दूर हो के पास नहीं .
कोई तुमसे पूछे कौन हूँ मैं ,
तुम कह देना कोई ख़ास नहीं .

हवा का एक सुहाना झोंका है ,
कभी नाज़ुक तो कभी तुफानो सा .
चेहरा देख कर जो नज़रें झुका ले ,
कभी अपना तो कभी बेगानों सा .

जिंदगी का एक ऐसा हमसफ़र ,
जो सागर है , पर दिल को प्यास नहीं .
कोई तुमसे पूछे कौन हूँ मैं ,
तुम कह देना कोई ख़ास नहीं .

एक साथी जो अनकही कुछ बातें कह जाता है ,

यादों में जिसका एक धुंधला चेहरा रह जाता है .
यूँ तो उसके न होने का कुछ गम नहीं ,
पर कभी - कभी आँखों से आंसू बन के बह जाता है .

यूँ रहता तो मेरे तसव्वुर में है ,
पर इन आँखों को उसकी तलाश नहीं

तुमसे पूछे कौन हूँ मैं , तुम कह देना कोई ख़ास नहीं .

Jin Ankhon Pe Main Marta Hoon!



kya Baat Kahoon Un Ankhoon Ki
Jin Ankhon Pe Main Marta Hoon,

Woh Ankhein Jheel Si Ankhein Hain
Jin Main Doob Ke Roz Ubharta Hoon,

Mujhe Dekhne Ke Liye Uthte Hain
Miltey Hi Nazar Woh Jhukte Hain,

Sarey Jahan Main Aisi Ankhein Nahi
Jin Ankhon Pe Main Marta Hoon,

In Ankhon Main Koi Ansoo Na Aye
Kabhi Koi Gham Na Pass Aye,

Sada Muskurate Rahe Yeh Ankhein
Har Dam Yeh DUA Main Karta Hoon

Kya Baat Hai Un Ankhon Ki
Jin Ankhon Pe Main Marta Hoon!

tujhe jina sikha rahi thi





‎"Maine kal ek jhalak zindagi ki dekhi wo meri raah me gunguna rahi thi..

maine dundha use idhar udhar Wo ankh micholi kar muskura rahi thi..

Ek arse ke baad aaya mujhe karar Wo sehla ke mujhe sula rahi thi..

Hum dono kyu kafaa hai ek dusre se......



mai usse or wo mujhe bata rahi thi..

Mene pucha tune mujhe ye dard kyun diya....

Usne kaha main zindagi hun tujhe jina sikha rahi thi....."

Tum Door Baso To Acha Hai




Yun Dil Na Lage Na Dard Uthe, Mat Roz Milo To Acha Hai,

Na Pyaar Bade, Na Jhagda Ho, Tum Door Baso To Acha Hai,


Is Pyaar Ki Sundar Baahon Mein, Ab Baahein Daal Ke So Bhi Chuko,

Yun Jee-Jee Ke Ab Marne Se, Marr-Marr Ke Jio To Acha Hai,


Le Ke Zanjeerein Haathon Mein, Kuch Log Tumhari Taaq Mein Hain,

Aey Ishq Humari Galiyon Mein, Na Aur Phiro To Acha Hai.

Kitna Hai Mujhse Pyaar Likh Do




Ek Baar Kar Ke Aitbaar Likh Do,
Kitna Hai Mujhse Pyaar Likh Do,


Katati Nahi Ye Zindagi Ab Tere Bin,
Kitna Karu Aur Intezaar Likh Do,


Taraste Rahe Hai Badi Muddat Se,
Is Baar Apni Mohabbat Ka Izhaar Likh Do,


Jyada Nahi Likh Sakte To Mat Likho Tum,
Mohabbat Bhare Lafaz Do Chaar Likh Do,


Ek Baar Likho Mohabbat Hai Mujhe Tumse,
Phir Yahi Jumla Baar Baar Likh Do.

Sirf Hum Na Roye, Himmat Ki Baat Thi.





Basaya Tha Dil Mein Unhe Chahat Ki Baat Thi,
Wo Bewafa Nikle Unki Fitrat Ki Baat Thi,


Waade Pe Unke Aaj Bhi Jee Rahe Hai Hum,
Hume Thi Intzar Aadat Ki Baat Thi,


Ruswa Wo Kar Gaye Hume Sabke Samne,
Hum Kuch Bhi Na Kar Sake Sharafat Ki Baat Thi,


Chaha Humne Paya Kisi Aur Ne Unhe,
Wo Mila Na Hume Kismat Ki Baat Thi,


Hamari Dastan Sunke Sara Jahan Roya,
Sirf Hum Na Roye, Himmat Ki Baat Thi.

Tujhse Dil Ki Baat Kahu Kis Trah?






Tujhse Dil Ki Baat Kahu Kis Trah?Tu Meri Jaan Hai Tujhe Batau Kis Trah?

Tu Anjaan Hai Ya Ban Raha Hai?Ye Andaaz Lagau Kis Trah?


Muqadar Se Muqadar Milna To Door Ki Baat,Tere Dil Se Dil Milau Kis Trah?


Tu Mile Na Mile Ye Kismat Ki Baat Hai Magar,Tujhe Chaha Hai Tujhe Bhul Jaun Kis Trah.






Saturday 14 April 2012

Badnam Zamane main Mohabbat Nahi Karte,







Badnam Zamane main Mohabbat Nahi Karte,

Dil Waale To Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte,

Ek Bar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe Phir,

Ham Log Amanat Main Khianat Nahi Karte,

Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar,

Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahi Karte,

Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jaiy Ga Tum Ko,

Ham Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahi Karte,

Likhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liy Ghazlain
,
Har Shakhs Pe ham Aise Enayat Nahen Karte

Monday 2 April 2012

Sang hawa k urna chahoon





Main bhi kitni pagal hoon na

Sang hawa k urna chahoon

Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoon
Phooloon k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na!



Chandni shab ko khunak hawa main

Chand nagar ko jana chahoon
Amber k ik ik taarey ko
Daman main bhar lena chahoon
Bhaag k sarey nanhey jugno
Muthi main band karna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na!



Kabhi kabhi un nazroon k main

Gongey sapney parhna chahoon
Uss ki sochoon k zeney per
Nangey pa'oon main charhna chahoon
Janti hoon na-mumkin hay ye
Phir bhi kitni pagal hoon main
Janey kya kya karna chahoon
Titli, khushbo, badal ban ker
sang hawa k urna chahoon

Saturday 18 February 2012

Mujhe khonay say darta tha




Meri Ankhon pay marta tha
Meri Baton pay hansta tha

Najane shakhs tha kaisa?

Mujhe khonay say darta tha
Mujhe say jab baat karta tha

Yehi har baar kehta tha
Suno! Agar may bhool jaaon tou

Agar may rooth jaaon tou
Bhool Paaongi yeh sab kuch?

Yunhi hansti rahogi kya?
Yunhi sajti rahogi kya?

Yahi batain hai bas uski
Yahi yaadain hai bas uski

Mujhe sirf yaad hai itna
Mujhe wo pyaar karta tha

Mujhe wo Khone Say darta tha

Chalo Mohabbat Ki Nai Bunyaad Rakhty Hyn !



Chalo Mohabbat Ki Nai
Bunyaad Rakhty Hyn !

Khud Paband Rehte Hyn
Tumhai'n Azaad Rakhty Hyn !

Humare Khoon Mein RAB Ne
Taseer Hi Aisi Rakhi Hy

Buraiya'n Bhool Jatey Hyn
Achaiya'n Yaad Rakhty Hyn !

Ye Soch Kr k Ghustakhi Na
Ho Jaye Mohabbat Mein

Isi Liye Apna Khyal Tere
Khyaal K Baad Rakhty Hyn !

khud wo rona bhul gaya




Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,

Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,

Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,

Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,

Usko gham tha itna ziyadah, khud wo rona bhool gaya

Ajeeb Shakhs hoon



Ajeeb Shakhs hoon Khudh ko jalana chahta hoon,
Mein khudh ko rakh kar kahe bhool jana chaht hoon,

Meray naseeb ki khushiyan bhi kab milli mujhko,
Bas ab to umer bhar ansoo bahana chahta hoon,

Najaney kitni mohabbat hai ranj-o-gham hai mujhey,
Koi bhi dard ho dil mein chupana chahta hoon,


"Baha baha ke yeh ansoo bikhar chuka hoon bohaat,
simat ke zaat mein ab muskurana chahta hoon,

Jisey aik umer se Dil mein basa kai rakha hai,
Woh raaz aaj mein sab ko batana chahta hoon,

Wohi yaad hai jo acha kaha hai logo ne,
Baqaya sarey sitam bhool jana chahta hoon,

Mujhe zamaney nai pathar samjh liya hai magar,
Mein aik insan hoon sab ko batana chahta hoon,

Jo mujh se ruth chuky hain zamaney ki khushiyan,
To mein bhi khushyon se ab ruth jana chahta hoon,

Woh meri khwahishein woh mera khuwaab woh mera bacheni,
Umer rafta mein phir sai woh pana chahta hoon,

Koi to ho jo mujhe bhi lagaye seenay se,
Kisi ko mein bhi gham apna sunana chahta hoon

Saturday 11 February 2012

Bhul jata hun





Zaroori Kaam hai lekin Rozana Bhul jata hun


Mujhey tum se Mohabbat hai batana Bhul jata hun


Teri Galion Mein Phirna itna ahca Lagta hai

Mein Rasta Yad Rakhta hun thikana Bhul jata hun

Bas itni baat per main Logon ko ahca nahi lagta

Mein neki kar tu deta hun Jatana Bhul jata hun

Shararat le ke Ankhon main wo Tera Dekhna touba

Mein Nazron pe jami Nazrein jhukana Bhul jata hun

Mohabat kab hui Kesay hui sub yad hai mujh ko

Mein kar k Mohabat ko Bhulana Bhul jata hun