Saturday 30 July 2011



Khuda hum ko tum-se, juda na karey
dua yey karo yey, "Khuda na karey".....
Humain aisey dil ki, zaroorat nahin
terey waastey jo, dua na karey.....
Nahin, mera dilbar, to aisa nahin
Jo wada karey aur, wafa na karey.....
yehi, yaar sachhayi ki pehchaan hai
Sahey zakham leykeen, gila na karey.....

No comments: