Friday 13 January 2012

beetay zamanay




                                        kabhi yaadain kabhi sapnay suhanay bhejh deta hai 


Mujhy aksar wo yaadon k khazany bhejh deta hai 


Main jab guzray dinon ki talkhiyion ko bhool jata hoon 

Mujhy phir say koi beetay zamanay bhejh deta hai 


Kabhi qasmain kabhi aehed-e-wafa o hosla day kar 

Humain wo zinda rehnay k bahaanay bhejh deta hai



No comments: