Saturday 14 January 2012

Roye bohot hai hum.




Ankhoon may kayi sapnay saja kar roye bohot hai hum.

dil ko nayi dunya dikha kar kar roye bohot hai hum.

woh badal gaya to pher li hum nay bhi nazar apni.
par us kay khatoon ko jala kar  roye bohot hai hum.

laut aye to ahin us ki mehfil say bacha kar ana apni.
par us ki bazm say a kar  roye bohot hai hum.

jisay kia tha roshan tamanhaon say hum nay apni.
us shamy wafa ka bhuja kar  roye bohot hai hum.

jin kay saye mai ki thin hum nay kayin batain.
un baghoon mai tanha ja kar  roye bohot hai hum.

kis qadar khoshi say kia hum dum ko rukhsat hum nay.
magar sab say nazar bacha kay  roye bohot hai hum.

hosla tutnay ka ho to wafa karna kisi say .
yeh batain logon ko suna kar roye bohot hai hum.

phir yun hua kay ankhoon nay kayin rat jagay dekhay.
palkoon pay teri yaad bitha kar roye bohot hai hum.

wohi aj mujh say meray dard ki wajah chatha hai.
jis ki batain aoron ko suna kar roye bohot hai hum.

No comments: