Saturday 14 January 2012

Kuch is tarha meri ankho mein basy hein Ansu




Kuch is tarha meri ankho mein basy hein Ansu

Hont chup hein to zuban ban k sajey hein Ansu

khud hi dy kar meri Ankho mein yah sary Ansu
Poochta hai key baata kisney diya hein Ansu

Faarq itna sa hai chaahat mein meri aur uski
usko khushia hi milen mujhko mily hein Ansu

Jisko her ghum sy bachaya tha meri chahat ny
Aaj us shaks ney Ankho mein diye hein Ansu

Dekhty kia ho meri Aankh sey niklaa Ansu
Ankh meri ha magar us key sajy hein Ansu

Khud to aram sey wo mujhko bhola betha ha
jiski chahat ki saza mein yeh miley hein Ansu

Yeh meri ankh nahi raait ka sehra hai jahan
khushk ankho mein kali ban k khely hein Ansu

Apny jis hath sey likha tha usey sari umar
kup kapati usi ongli sey meety hein Ansu

No comments: