Ik mauj-e-samndar-e-qaynaat hai zindagi
Khud hi jwaab aur swaalaat hai zindagi
Khud ki talaash yeh safar-e-hyaat
Abhi din ki aarzu ab justju-e- raat
Kuch jaani pehchani raahon pay
UmroN kay qaafilay
Ghardish-e-doraaN main pinha manzilaiN
Kabhi manzil ka pa laina
Phir us say uqta jaanaa
Yeh shauq-e-manzil nahi
Shayud jeenay ka bus bahaanaa
Jab bar gayi bahut tanhai
Banaya phulsupha-e-khudai
But banayay banai azaanaiN
Phir sajaai rishton ki dukaanaiN
Jab jab bhi khud say uqtaiya insaaN
Daur-e-wehshat main laut aayaa insaaN
Is hajoom-e-zindagi main tanha hai har koi
Bus giraphat-e-khwaab-e-bahaanaa hai har koi
Ik bhatkan umr kay jaNgloN main
Liyay beqasi-e-namaloom diloN main
Har koi jiyay jaataa hai
Dard-o-masarrat kay ajab saNgam ko
Unwaan-e-zindgai diyay jaataa hai
No comments:
Post a Comment