Ye hawa, ye wadiyan, ye sauhana mausam,
yaad aata hai mujhe mera bachpan,
woh yadein mere dil mein simti hui,
dheere-dheere jo hai mit ti hui...
aab tho kuch dhundala sa hi nazar aata hai,
waqt palon mein guzar jata hai,
sochti hoon kabhi hamare din bhi aayenge,
hum milke wahi purana geet gayenge,
hasenge, khelenge, mauj manyenge,
phir apne gharon ko laut jayenge.
Phir wahi jeewan hoga,
woh khushi ka pal dil mein simta hoga,
phir suhana mausam banke hamme yaad aayega,
doston se bichadna hamme phir satayega.
kushi ke do pal jina ka maksad ban jate hain
kal do khushiyan pane ke liye...hum aaj jiye jate hain
Aaj ka bharosa nahi kal ki baat karte hain
khushi ke ek jhonke ke liye hum tho jiya karte hain.
No comments:
Post a Comment