Saturday, 4 June 2011


Mai’n kyon na tarak-e-taluq ke ibtadaa kerta
Wo door dais ka baasi tha kaya wafa kerta
Wo mairay zabat ka andaaza kernay aaya tha
Mai’n hans kay zakham na kahtaa tau aur kaya kerta
Hazaar aaina khaano mai’n bhi paa na sakka
Wo aaina jo mujhe khud se aashanaa kerta
Dar-e-qafass pay qayamat ka habass tha warna
Saba se zikar tera mai’n bhi sunn leya kerta
Meri zamee’n tu agar mujh ko raas aa jati
Mai’n rifato’n mai’n tujhay aasama’n sa kerta
Gham-e-jaha’n ke mohabbat lubhaa rahi thi mujhe
Mai’n kiss tarah teri chahat pay aasraa kerta
Agar zubaan na kat’te tau shahar mai’n Mohsin
Mai’n pathro’n ko bhi ek roz hamnawaa kerta

No comments: