Thursday, 23 June 2011


 Ki jis raah se meri maiyyat chali thi 


Ki jis raah se meri maiyyat chali thi, 
Ushi raah par ek larki khari thi, 
Ke jaise hi nikla janaja mera bahar, 
Wo chehaki bare jor se muskurakar, 
Ushe dekhkar the sabhi log heran, 
Ye kyun hans rahi hai jab hum hain pareshan, 
Tabhi ek bujurg ko khayal aa gaya khuch, 
Hansi uski dekhi malal aa gaya khuch, 
Wo larki se bole kyun hansti ho ispar, 
Nahi maut se koi ja paya bachkar, 
Jo aaya jahan main ushe jana parega, 
Ye wada khuda se nibhana parega, 
Wo larki yun boli, Wo larki yun boli, 
Bare hi adab se Zuban ushne kholi, 
Ye wada tha chahe jiyenge, marenge, 
Harek haal main muskura ke milenge, 
Mere muskurane ki bus itni kahani, 
Na palkon pe aanshu na aankhon main paani, 
Hai "Panchee" pata ke sabhi ko hai marna, 
Magar tum mohabbat khuch aise hi karma, 
Jamane se chahe tum jaise nibhana, 
Humain dekh kar tum sada muskurana,

No comments: