Saturday 6 August 2011

Ajeeb terha say utri hai ab ke tanhai
Dewar-o-dar say baras ne lagi hai tanhai

ye meray ghar ki udasi say dar gai shayad
lipat k mujh say galay ro rahi hai tanhai

chalo k sham hoi ub to lautna hai mujhai
k meray ghar pay meri muntazir hai tanhai

mei ja k uss ko sunata hon hal-e-dil apna
phir apna haal sunati hai mujh ko tanhai

wo rasta ho k manzil ho ya k mehfil ho
meri rafeeq -------meri razdar --------tanhai

bari talash se usss ko mila hai ghar mera
phiri hai meray liye dar badar yee tanhai

kabhi yahan bhi to qadmo ki aahatain ayien
mujhi say kehnay lagi hai ye meri tanhai

No comments: