Tuesday 2 August 2011


Tum roth jao mujh se aisa kabhi na ho
Main ik nazar ko tarson aisa kabhi na ho

Main poch poch haron so so swal kar k
Tum kuch jawab na do aisa kabhi na ho

Kuch main b janoni hon kuch meri muhabat b
Ye janon tham jaye aisa kabhi na ho

Tum chand ban k niklo main dekhti rahon
Kisi raat tum na niklo aisa kabhi na ho

Mujh se hi mil k hasna mujh se hi mil k rona
Mujhe se bichar k jee lo aisa kabhi na ho

No comments: