Saturday 6 August 2011


Haal-e-dil main ussay sunaon kaya ?
Sun kay mujh pe hans diya karta hai

Ajab sa andaz-e-ishq hai yaro uss ka 
Be wafaon may wafa talash karta hai

Barishon ki tarhan barasta hai kabhi 
Kabi sehra ki maanind banjar milta hai 

Kabhi tu payar say kehata hai jan apni 
Kabhi mujh say dil lagi bhi karta hai 

Hy Jo deta tha meri raton ko roshni 
ye chand bhi kitna udas lagta hai 

Us ki awaz gunjti hai mere kano main 
ik ahsas meray dil pe war karta hai 

Andheray hain tere muqadar main Nazo
Wo tu aftaab hai roshni ki ass karta hai 

mousamon aje mujh pe meharban kyun ho 
sanam tu ab,kisi or he pe marta hai 

Wo zindagi ke her rang pe hai razi
ik meray sath chalne se he darta hai

No comments: