Sunday 19 June 2011


Mohababat kiya cheej hai kabhi kisi ko ho jati hai
Bade budhe aur naujawan sabhi ke dil ko bha jati hai

Jindgi sawar jati hai mohababat ke nam se
Bikharti hai khushboo jami par bahar jab uver aati hai

Mohababat rogo ki dawa hai aisi dilbar
Gam bhool jate hain lognasha dil par chha jata hai

Sabhi karte hain intezar mohababat ke samay ka
Umar ke padaw par jab kabhi najar main aa jati hai

Kiya karen hum baya juban se mohababat ke bare main
Jab sari duniya hi iske pichhe daur lagati hai

Kiya kahen kisi ke dil main kiya hai Dost
Har shakhs ke dil par jab mohababate raj karte hain

No comments: