Saturday 18 June 2011


Pathar bana dia muje rone nahin diya
damaan bhi tere gham ne bighone nahin diya

tanhaiyan tumhara pata poochhti rahe 
shaab bhar tumhari yaad ne sone nahin diya

ankhon me aakar beth gayi annsoon ki lehar
palkon pe koi khwaab pe rone nahin diya

dil ko tumhare naam ke ansoo aziz the
duniya ka dard dil me samone nahin diya

Nasir yoon uski yaad chali haath thaam ke
mele me is jahan ko khone nahin diya

No comments: