Sunday 19 June 2011


 
Kyu mehke hai gulaab aankhon mein..
Humne rakhe hai gulaab aankhon mein..
Mohabbat ka tumse abh hum sawaal karte hai..
Likh kar rakhna tum jawaab aankhon mein..
Isme khatra hai tumhe dubb jaane ka..
...Jhaakna mat aaye sanaam meri aankhon mein..
Kabhi aankhein kitaab mein gum hai..
Aur kabhi gum hai kitaab aankhon mein..
Ek waqt tha ke koi rehta tha shab-o-roz..
Meri inhi ashqbaar bebass aankhon mein..

No comments: