Friday 17 June 2011


Ek dewane ka is dil ne kaha maan liya
Pyar ne pyar ki awaz ko pahchan liya
Tum ko pahchan k anjan kahan tak rahti
Jism se dour bhala jaan kahan tak rahti
Tum naheen dil se juda main ne jaan liya
Pyar ne pyar ki awaz ko pahchan liya
mere ahsaas ki gati hui tasver ho tum
Mera jo khawab hay us khawab ki tahber ho tum
Tum sa koi na mila sara jahan chaan liya
Chaa gaey mere jazbaat pe tum jado ki tara
Main ne sanson main basaya tumeen khushbo ki tara
Ham na bicharen gey kabhi dil main yeh tahan liya

No comments: