Thursday 23 June 2011


Baat chali teri aankhon sey
ja pohncha paimanay tak
khinch rahi hai teri ulfat,
aaj mujhey maikhaney tak
ishq ki batey gum ki batey,
dunya wale kartey hain
kis ne shama ka dukh dekha,
kaun gaya parwanay tak
ishq nahin hey tum ko mujh say,
sirf bahaney karti ho
yu hi bahaney qayam rakhna,
tum meray mer jaane tak
itna hi kehna hey tum say,
mumkin ho to aa jana,
aa hi gaye toh rukna bhi ho ga,
aankhon k pathraney tak..

No comments: